29/03/2024
29: Sura Al-Ankabut
Shuru Allah ke naam se jo Rehman o Raheem hai.
1. Alif Laam Meem
2. Kya logon ne yeh samajh rakkha hai ke woh bas itna kehne par chodh diye jayenge ke “hum imaaan laaye” aur unko aazmaya na jayega?
3. Halanke hum un sab logon ki aazmaish kar chuke hain jo inse pehle guzre hain. Allah ko to zaroor yeh dekhna hai ke sacchey kaun hain aur jhootey kaun.
4. Aur kya woh log jo buri harkatein kar rahey hain yeh samajh baithey hain ke woh humse baazi le jaayenge? Bada galat hukum hai jo woh laga rahey hain.
5. Jo koi Allah se milne ki tawakku rakhta ho (usey maloom hona chahiye ke) Allah ka muqarrar kiya hua waqt aane hi waala hai. Aur Allah sab kuch sunta aur jaanta hai.
6. Jo shaks bhi mujahida (struggle) karega apne hi bhale ke liye karega. Allah yaqeenan duniya jahan waalon se be niyaz hai.
7. Aur jo log imaan layenge aur neik aamal karenge unki buraiyan hum unse door kar denge aur unhein unke behtareen aamal ki jaza denge.
8. Humne insaan ko hidayat ki hai ke apne waldain ke saath neik sulook karey lekin agar woh tujh par zoar dalein ke tu mere saath kisi aisey (maabood) ko shareek thehraye jisey tu ( mere shareek ki haisiyat se) nahin jaanta to unki itaat na kar, Meri hi taraf tum sabko palat kar aana hai. Phir mein tumko bata dunga ke tum kya karte rahey ho.
9. Aur jo log imaan laaye honge aur jinhon ne neik aamal kiye honge unko hum zaroor saliheen mein daakhil karenge.
10. Logon mein se koi aisa hai jo kehta hai ke hum imaan laaye Allah par magar jab woh Allah ke maamle mein sataya gaya to
usne logon ki daali hui aazmaish ko Allah ke azaab ki tarah samajh liya. Ab agar tere Rubb ki taraf se fatah-o-nusrat aa gayi to yahi shaks kahega “hum to tumhare saath thay” kya duniya waalon ke dilon ka haal Allah ko ba-khoobi maloom nahin hai?
11. Aur Allah ko to zaroor yeh dekhna hi hai ke imaan laane waale kaun hain aur munafiq kaun.
12. Yeh kaafir log imaan laane waalon se kehte hain ke tum hamare tareeqe ki pairwi karo aur tumhari khataon ko hum apne upar le lenge. Halanke unki khataon mein se kuch bhi woh apne upar lene waale nahin hai, woh
13. qat-an jhoot kehte hain.
14. Haan zaroor woh apne bojh bhi uthayenge aur apne bojhon ke saath bahut se dusre bojh bhi aur qayamat ke roz yaqeenan unse in iftara pardaziyon (bohtaan/ fabrication) ki baaz purs hogi jo woh karte rahe hain.
15. Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja aur woh pachhas (fifty) cm ek hazaar baras (saal) unke darmiyan raha.Aakhir e kaar un logon ko toofaan ne aa ghera is haal mein ke woh zaalim thay.
16. Phir Nooh ko aur kashti waalon ko humne bacha liya aur usey duniya waalon ke liye ek nishaan ibrat bana kar rakh diya.
17. Aur Ibrahim ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Allah ki bandagi karo aur ussey daro, yeh tumhare liye behtar hai agar tum jaano.
18. Tum Allah ko chodh kar jinhein poojh rahey ho woh to mehaz buth (idols/statue/murtiyan) hain aur tum ek jhoot ghadh rahey ho. Dar haqeeqat Allah ke siwa jinki tum parastish karte ho woh tumhein koi rizq bhi dene ka ikhtiyar nahin rakhte. Allah se rizq maango aur usi ki bandagi karo aur uska shukar ada karo, usi ki taraf tum paltaye jaane waaley ho.
19. Aur agar tum jhutlate ho to tumse pehle bahut si qaumein jhutla chuki hain. Aur Rasool par saaf saaf paigaam pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai.”
20. Kya in logon ne kabhi dekha hi nahin hai ke Allah kis tarah khalq ki ibtida karta hai, phir uska iaada (repeat) karta hai? Yaqeenan yeh [iaaada to (to repeat the creation of a thing) ]Allah ke liye aasaan tar hai.
21. Inse kaho ke zameen mein chalo phiro aur dekho ke usne kis tarah khalq ki ibtida ki hai. Phir Allah baar-e-digar bhi zindagi bakshega (recreate life). Yaqeenan Allah har cheez par qaadir hai.
22. Jisey chahe saza de aur jis par chahe reham farmaye. Usi ki taraf tum phere jaane waale ho.
23. Tum zameen mein aajiz karne waale ho na aasmaan mein. Aur Allah se bachane waala koi sarparast aur madadgaar tumhare liye nahin hai.
24. Jin logon ne Allah ki aayaat ka aur ussey mulaqaat ka inkar kiya hai woh meri rehmat se maayous ho chuke hain, aur unke liye dardnaak saza hai.
25. Phir uski qaum ka jawab iske siwa kuch na tha ke unhone kaha “qatal kar do isey ya jala daalo isko” .Aakhir e kar Allah ne usey aag se bacha liya. Yaqeenan is mein nishaniyan hain un logon ke liye jo imaan laane waale hain.
26. Aur usne kaha “ tumne duniya ki zindagi mein to Allah ko chodh kar buthon (idols) ko apne darmiyan muhabbat ka zariya bana liya hai magar qayamat ke roz tum ek dusre ka inkar aur ek dusre par laanat karoge. Aur aag tumhara thikana hogi, aur koi tumhara madadgaar na hoga.”
27. Us waqt Lut ne usko maana aur Ibrahim ne kaha main apne Rubb ki taraf hijrat karta hoon, woh zabardast hai aur hakeem hai.
28. Aur humne usey Ishaaq (Issac) aur yakub (Jacob) (jaisi aulad) inayat farmayi aur uski nasal mein nubuwat aur kitaab rakh di, aur usey duniya mein uska ajar ata kiya aur aakhirat mein woh yaqeenan saaliheen mein se hoga.
29. Aur humne Lut ko bheja jabke usne apni qaum se kaha “Tum to woh fahash kaam karte ho jo tumse pehle duniya waalon mein se kisi ne nahin kiya hai.
30. Kya tumhara haal yeh hai ke mardon ke paas jaate ho(to satisfy your lust) , aur raahzani(highway robbery) karte ho, aur apni majlison mein burey kaam karte ho?” Phir koi jawab uski qaum ke paas iske siwa na tha ke unhon ne kaha “ le aa Allah ka azaab agar tu saccha hai”
31. Lut ne kaha “Aey mere Rubb, in mufsid(mischievous) logon ke muqable mein meri madad farma”
32. Aur jab hamare faristade (emissaries/messengers) Ibrahim ke paas basharat lekar pahunchey to unhon ne ussey kaha “hum is basti ke logon ko halaak karne waaley hain, iske log sakht zaalim ho chuke hain.”
33. Ibrahim ne kaha “wahan to Lut maujood hai”. Unhon ne kaha: “Hum khoob jaante hain ke wahan kaun kaun hai, hum usey aur uski biwi ke siwa uske baaqi ghar waalon ko bacha lenge”. Uski biwi peechey reh jaane waalon mein se thi.
34. Phir jab hamare faristade (emissaries/messengers) Lut ke paas pahunchey to unki aamad par woh sakht pareshan aur dil tang hua. Unhon ne kaha “ na daro aur na ranj karo hum tumhein aur tumhare ghar waalon ko bacha lenge, siwaye tumhari biwi ke jo peechey reh jaane waalon mein se hai.
35. Hum is basti ke logon par aasmaan se azaab naazil karne waaley hain us fisq ke badaulat jo yeh karte rahe hain”
36. Aur humne us basti ki ek khuli nishani chodh di hai un logon ke liye jo aqal se kaam lete hain
37. Aur Madyan ki taraf humne unke bhai shoaib ko bheja.Usne kaha “Aey meri qaum ke logon, Allah ki bandagi karo aur roz e aakhir ke umeed-war raho aur zameen mein mufsid ban kar zyadatiyan (mischief) na karte phiro”.
38. Magar unhon ne usey jhutla diya. Aakhir e kaar ek sakht zalzale ne unhein aa liya aur woh apne gharon mein padey ke padey reh gaye.
39. Aur Aad o Samood ko humne halaak kiya, tum woh maqamaat dekh chuke ho jahan woh rehte thay. Unke aamal ko shaytaan ne unke liye khushnuma bana diya aur unhein raah e raast se bargashta kar diya, halanke woh hosh-gosh rakhte thay.
40. Aur Qaroon o Firoun o Hamaan ko humne halaak kiya. Moosa unke paas bayyinaat (khuli nishaniyan) lekar aaya magar unhon ne zameen mein apni badayi ka zaam kiya halanke woh sabaqat le jaane (qaabu se nikal jaane) waaley na thay.
41. Aakhir e kaar har ek ko humne unke gunaah mein pakda. Phir unmein se kisi par humne pathrao (showers of stones) karne wali hawa bheji, aur kisi ko ek zabardast dhamake ne aa liya, aur kisi ko humne zameen mein dhasa diya, aur kisi ko garq (drown) kar diya. Allah unpar zulm karne wala na tha, magar woh khud hi apne upar zulm kar rahey thay.
42. Jin logon ne Allah ko chodh kar dusre sarparast bana liye hain unki misaal makhdi (spider) jaisi hai jo apna ek ghar banati hai, aur sab gharon se zyada kamzoor ghar makhdi (spider) ka ghar hi hota hai, Kaash yeh log ilam rakhte.
43. Yeh log Allah ko chodh kar jis cheez ko bhi pukarte hain Allah usey khoob jaanta hai aur wahi zabardast aur hakeem hai.
44. Yeh misalein (examples) hum logon ki fehmaish(understanding) ke liye dete hain, magar unko wahi log samajhte hain jo ilam rakhte wale hain.
45. Allah ne aasmaano aur zameen ko barhaqq paida kiya hai, dar haqeeqat is mein ek nishani hai ehle imaan ke liye.
46. ( Aey Nabi) Tilawat karo is kitaab ki jo tumhari taraf wahi ke zairye se bheji gayi hai aur namaz qayam karo, yaqeenan namaz fahash (behayaii) aur buray kaamon se rokti hai aur Allah ka zikr is se bhi zyada badi cheez hai. Allah jaanta hai jo kuch tum log karte ho.
47. Aur ehle kitaab se behas na karo magar umdah tareeqe se, siwai un logon ke jo un mein se zaalim hon. Aur unse kaho ke “hum imaan laaye hain us cheez par bhi jo hamari taraf bheji gayi hai aur us cheez par bhi jo tumhari taraf bheji gayi thi. Hamara khuda aur tumhara khuda ek hi hai aur hum usi ke muslim(farma bardar) hain”
48. (Aey Nabi) humne isi tarah tumhari taraf kitaab naazil ki hai, is liye woh log jinko humne pehle kitaab di thi woh is par imaan laatey hain, aur in logon mein se bhi bahut se is par imaan laa rahey hain. Aur hamari aayat ka inkar sirf kaafir hi karte hain.
49. (Aey Nabi) tum issey pehle koi kitaab nahin padte thay aur na apne haath se likhte thay, agar aisa hota to baatil parast log shakk mein padh sakte thay.
50. Dar-asal yeh roshan nishaniyan hain un logon ke dilon mein jinhein ilam baksha gaya hai, aur hamari aayaat ka inkar nahin karte magar woh jo zaalim hain.
51. Yeh log kehte hain ke “kyun na utari gayi is shaks par nishaniyan iske Rubb ki taraf se?” kaho “Nishaniyan to Allah ke paas hain aur main sirf khabardar karne wala hoon khol khol kar”
52. Aur kya in logon ke liye yeh (nishani) kaafi nahin hai ke humne tumpar kitaab naazil ki jo inhein padh kar sunayi jaati hai? Dar haqeeqat is mein rehmat hai aur naseehat hai un logon ke liye jo imaan laatay hain.
53. (Aey Nabi) kaho ke “mere aur tumhare darmiyan Allah gawaahi ke liye kaafi hai, woh aasmaano aur zameen mein sab kuch jaanta hai. Jo log baatil ko maante hain aur Allah se kufr karte hain wahi khasare mein rehne waaley hain.”
54. Yeh log tumse azaab jaldi laane ka mutalaba karte hain. Agar ek waqt e muqarrar na kar diya gaya hota to inpar azaab aa chuka hota, aur yaqeenan (apne waqt par) woh aa kar rahega achanak, is haal mein ke inhein khabar bhi na hogi.
55. Yeh tumse azaab jaldi laane ka mutalaba karte hain, halanke jahannum in kaafiron ko ghere mein le chuki hai.
56. (Aur inhein pata chalega) us roz jabke azaab inhein upar se bhi dhank lega aur paaon ke nichey se bhi aur kahega ke ab chakkho mazaa un kartooton ka jo tum karte thay.
57. Aey mere bandon jo imaan laaye ho, meri zameen waseeh hai, pas tum meri hi bandagi baja laaoo.
58. Har mutanaffis ko maut ka maza chakhna hai, phir tum sab hamari hi taraf palta kar laaye jaaogey.
59. Jo log imaan laaye hain aur jinhon ne neik amal kiye hain unko hum jannat ki buland o baala imaraton (buildings/palaces) mein rakhenge jinke nichey nehrein behti hongi, wahan woh hamesha rahenge. Kya hi umdah ajar hai amal karne walon ke liye.
60. Un logon ke liye jinhon ne sabr kiya hai aur jo apne Rubb par bharosa karte hain.
61. Kitne hi jaanwar hain jo apna rizq uthaye nahin phirte, Allah unko rizq deta hai aur tumhara raaziq bhi wahi hai. Woh sab kuch sunnta aur jaanta hai.
62. Agar tum in logon se pucho ke zameen aur aasmaano ko kisne paida kiya hai aur Chand aur Suraj ko kisne musakkhar kar rakkha hai, to zaroor kahenge ke Allah ne, phir yeh kidhar se dhoka kha rahe hain?
63. Allah hi hai jo apne bandon mein se jiska chahta hai rizq kushada karta hai aur jiska chahta hai tangg karta hai, yaqeenan Allah har cheez ka jaanne waala hai.
64. Aur agar tum inse pucho, kisne aasmaan se paani barsaya aur iske zariye se murda padi hui zameen ko jila uthaya to woh zaroor kahenge Allah ne. Kaho, Alhamdulillah, magar aksar log samajhte nahin hain.
65. Aur yeh duniya ki zindagi kuch nahin hai magar ek khel aur dil ka behlawa, asal zindagi ka ghar to daar e aakhirat hai, kaash yeh log jaantey.
66. Jab yeh log kashti par sawar hotay hain to apne deen ko Allah ke liye khaalis karke ussey dua maangte hain, phir jab woh unhein bacha kar khushki par le aata hai to yakayak yeh shirk karne lagte hain.
67. Taa-ke Allah ki di hui nijaat par uska kufraan e niyamat karein aur (hayat e duniya ke) mazey lootein. Accha, anqareeb inhein maloom ho jayega.
68. Kya yeh dekhte nahin hain ke humne ek pur-aman haram bana diya hai, halanke inke gird-o-pesh log uchak liye jaate hain? Kya phir bhi yeh log baatil ko maante hain aur Allah ki niyamat ka kufraan karte hain?
69. Us shaks se bada zaalim kaun hoga jo Allah par jhoot baandhey ya haqq ko jhutlaye jab ke woh uske saamne aa chuka ho? Kya aisey kaafiron ka thikana jahannum hi nahin hai?
70. Jo log hamari khatir mujahida karenge unhein hum apne raaste dikhayenge, aur yaqeenan Allah neik-o-karon hi ke saath hai.