Bazm-e-Sukhan

Bazm-e-Sukhan ♠♠ Urdu poetic workshop for All ♠♠ Share Ur Own feelings via Poetry ~Thanx~

05/02/2022
05/02/2022
21/01/2021

کچھ اس طرح سے گزرے ھیں میرے شب و روز
کہ کبھی یوم گداذ تو کبھی یوم سوذ

18/02/2020

اب مان لیتے ہیں چوروں کی رکھوالی
عہدہ جو ملا ھے بحیثیت کوتوالی

28/08/2019

Country Pakistan says to the countrymen:

Wo hi taabeer hun me jiska tum ne khuwab dekha tha,

Wo hi to bazm hun me jis se tum ne lo lagai Thi,

To kyun tum phir g*e ho simt se ke jiski me hi manzil tha,

Goya kyun so g*e tum phir se, jab ke jage rehna tha.

01/02/2019

Tumhara yun jana laut ke ane k lie hi to hai
Na hota laut ke ana to phir jate hi kyun tum

25/04/2018

Tum hume kia samjhe jo hum nahn samjhe,

Goya jo hum samjhe wo tum nhn samjhe,

Yun hi zindagi hui tamam jisko,

Kuch tum nahn samjhe kuch hum nahn samjhe.

23/03/2018

Kaash ke zindagi ek lambi chutti ka naam ho
Jise mana kar guzarna bus apna kaam ho.

09/03/2018

Kuch is ada se tum ne han karte hue na kardi,
Jaise murawwat karte hue bari bemurawwati ki had kardi.

09/03/2018

Muddaee jo ban pare tujhse to ab tu wo karle,
Hum to na badle hain na badlenge qasam khai hai.

03/03/2018

Ek mujhe chor duniya pe tawajja hai uski
Aur ye rasam bhi yunhi murawajah hai unki

22/02/2018

Ulajh gaya hun bunyaad me zaruraton ki
Jane kab hogi tayar imarat khuwahishon ki

22/02/2018

Le chal mujhe masnoi rawabit se kahin door
Jahan thora dastyaab ho waqt magar insaan ke lie.

22/02/2018

Kamal zahir kia hua hai Batin ne
Jane hazir kia aur ghaib kia hai

Janib gamzan hain mutaeen simt
Aur nahin jante ke manzil kia hai

16/02/2018

Na duniya ki samajh aur na akhirat ki fikar
Bus yun hogaya insaan ,insaan se ghafil

27/12/2017

Bara aitemad hai tumhen apni aqal o danish pe
Jo hume ahmaq samajhne ka hunar rakhti hai

Azeemushan hoga tumhare saath johla ka hujum
Kaseer hamari jamaat bhi jawahir rakhti hai

22/12/2017

Teri jeene ki khuwahish par meri marne ki talab

Na jane konsa amal hai tere is hasad ka sabab

22/12/2017

Dunia to rahi nhn mun lagane ke qabil
To kia khud se bhi baten na kia karun me

Tum chahte Kia ho akhir khud hi batado
Zinda rahun ya phirrrr mar jaon me

17/08/2017

Sajda e ghair gawara na Kia ba hukum e khuda bhi
Iblees bhi hai ba misl e bashar paband e anad

Ibn e adam ko fareb e waqt hai hojaega taib
Izraeel ko rukhsat nahn muhlat e hayat

12/08/2017

Haqeeqat pasand bhi rahun aur khush bhi rahun jo ye mumkin nahn

Sab jaan kar me chup bhi rahun to ye mumkin nahn

16/07/2017

Mar hi gaya akhir wo

Jo ye kehta tha tum pe Marta hun

05/12/2016

Meri khamosh tabiat badal kar chekho pukar me

Mila kya tum ko akhir karke ye tarz e karoobar me

28/11/2016

Mujhe Rona hai kisi masoom tifal ki manind

Koi kandha to barhado aur Sabab to poocho

14/11/2016

Qissa e gham e hayat na poocho koi

Jaan baqi hai faqat sans khtm hone tak

21/10/2016

Jab tark e fikar kardia hum ne
Tab ye Jana ke janina kia hai

Zahir kardia jo Sab Batin ne
Phir samjhe ye maajra kia hai

12/10/2016

Meri sukhanwari pasand hai unhe
Jo mujhse nafrat bala ki karte hain

Aur koi kaam WO agarche zaroor
Nahn karte magar ye karte hain

02/07/2016

Har chehre se muhabbat mumkin nahn

Jab ke irada kisi ek par marne ka ho

18/06/2016

Khayal hamare mizaaj ka aksar

Wohi rakhte the hum nahin rakhte

19/05/2016

Dard itna hai zindagani me
Maut baqa e hayat lagti hai

14/04/2016

Band kardo mere aasaab qabu karna

Ya phir meri deewangee qabul karo

14/04/2016

Jab nazare aam hote hain aur sare aam hote hain

To kyun sar ko jhukaon me aur kyun nazren churaon me

20/03/2016

Jane kyun fikar me mustakbil ki
Haal me behaal hue phirte hain

Is amal ko samajhkar danishmandi
Log bhi aksar kamaal karte hain

18/03/2016

Jab mujhe fursat nahn rahi khudse
Phir wo tawaja ka muntazir kyun hai

18/03/2016

Umar guzar jati hai rafaqaton me
Raston par hamsafar nahn milte

Manzil tak chalne ke mudaee aksar
Humrah musafat tai nahn karte

Address

Karachi
75080

Telephone

+923332400005

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Bazm-e-Sukhan posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Bazm-e-Sukhan:

Share

Category


Other Magazines in Karachi

Show All

You may also like