Humanity Of Islam

Humanity Of Islam Zamin k Ooper Kaam, Zamin k niche aaram. (Hazrat Hafize Millat alaihir rahma) AlHamdulillah! Doston! Aur logon tak Islahi Bayanat SHARE karna he.
(567)

ye Page ka maqsad Deen e Islam ki sahih taalimaat aur Fiqah e Hanafi k Masaail logon tak pahonchana. Ummid he aap sab Hamare iss page ko LIKE karenge aur dostong me SHARE karenge. Jazakallaho Khaira.

Hazrat Khwaja Sultaan Sayyed Haaji Hood rahmatullāhi alaihi :♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Mazeed Posts ke liye Website dekhen ...
16/01/2025

Hazrat Khwaja Sultaan Sayyed Haaji Hood rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Abul Barkaat, Siraaj-ul-Hind, Qutb-ul-Aqtaab, Muballigh-e-Aazam.

****************
Aap ki wilaadat 416 Hijri (1025 A. D.) me Damascus ke qareeb Khanfur (Syria) me hui.

****************
Aap ke waalid ka naam Sultaan Sayyed Avvana Abdullāh Subuhi bin Sayyed Zaahir hai.
Aap Husaini saadaat hain aur Hazrat Imaam Sayyed Muhammad Baaqir rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

****************
Aap ki wilaadat se pehle Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ke waalid ko khwaab me bashaarat farmai ke “Tumhare yaha ek saaleh farzand aane waala hai jis ka naam Hood rakha jaaye.”

****************
Aap 14 saal ki umr me Haafiz e Qur'ān aur Qaari ban gaye.
Phir Hadeeṡ, Fiq'h, Ilme Nahaw aufr deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.

***************
430 Hijri (1039 A. D.) me 14 saal ki umr me Aap Samarqand ke sultaan bane.
Aap Siyasati umoor ke maahir the aur har dil azeez the. Jab faarigh hote to ibaadat me masroof rehte.

444 Hijri (1053 A. D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khwaab me farmaaya ke “Bete! Deen ko duniya par tarjeeh do.”
Aap 28 saal ki umr me sab kuchh chhodkar Makka mukarrama tashreef le gaye aur waha 36 saal qayaam pazeer rahe. Aap har saal Hajj ada karte. Phir Madeena munawaara me muqeem hue.
Ek martaba Aap ne Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam par haazir hokar salaam pesh kiya “Assalaamu alaikum ya Jadadi” to Roza mubarak se aawaaz aai “Wa alaikum assalaam ya Waladi”.

Kuchh arse ba’ad Aap Yemen hote hue Chisht tashreef le gaye aur Hazrat Khwaja Sayyed Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed hue. Aur Hazrat ki khidmat me rehkar baatini ta’aleem haasil ki.

Ek roz Hazrat ne Aap ko bulakar Khilaafat ata farmai aur Musalla, Asaa mubarak aur Naalain bataur tabarrukaat diye aur Hindustan jaakar khidmate deen karne ke liye farmaaya.

Is ke ba’ad Aap Samarqand aaye aur phir Hindustan ki jaanib safar shuru kiya.

**************
485 Hijri (1093 A.D.) me Raaja Karandev ke zamaane me Aap apne saahabzaade Hazrat Sayyed Ismāeel aur apne wazeer Haaji Husain samet 200 afraad ke saath isha’at e Islaam ke liye Patan (Gujarat) tashreef laaye.

Patan me Aap ne ek Mandir ke saamne ek maidaan me qayaam farmaya. Mandir me hire moti jadi hui murtiya aur bahot saara sona chaandi tha. Mandir ki hifaazat ke liye ek baagh [tiger] p**l rakha tha, jise shaam ko khula chhod diya jaata tha. Agar koi anjaan shakhs waha pahunch jaata to woh baagh use maarkar khaa jaata tha.
Aap apne saathiyo ke saath Asr ke waqt par waha pahunche. Namaaze asr padhkar faarigh hue to dekha ke baagh daudta hua aa raha hai. Aap ke saathiyo ne arz kiya “Huzoor! Baagh hamari taraf aa raha hai.” Aap farmaya “Gabhraao nahi, Yeh baagh mujh par hamla karega aur in sha Allāh maara jaayega.” Jaise hi baagh ne Aap par hamla kiya aur Aap ne baagh ke dono jadbo ko pakad kar use cheer daala.
Raaja ko jab is ki khabar mili to us ne apne sipaahiyo ko Aap ko giraftaar karne ke liye bheja. Jaise hi sipaahi Aap ke qareeb aaye wo zameen me ghansne lage. Seene tak zameen me ghansne ke ba’ad unho ne Aap ko iltija ki. Aap ko raham aaya aur unhe baahar nikaala. Phir Aap ne un se farmaaya “Main yaha kuchh lene ke liye nahi aaya balke tumhe sidha raasta bataane aaya hu. ALLĀH ek hai aur wohi ibaadat ke laa'iq hai aur Hazrat Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam us ke Rasool hain.”
Aap ki baato se muta’aṡṡir hokar sipaahi islaam me daakhil ho gaye.

Is ke ba’ad Raaja Karandev Aap ke paas aaya. Aap ke nooraani chehre ko dekhkar woh khaamosh ho gaya. Aap ne puchha “Tum kis ki ibaadat karte ho?” Raaja ne kaha “Main is mandir me jo bhagvaan hain un ki pooja karta hu.” Aap ne farmaaya “Main un buto ko dekhna chaahta hu.” Raaja Aap ko mandir ke andar le gaya aur buto ko dikhaaya. Aap ne sab se bade aur sajaaye hue but ki taraf ishaara karke farmaaya “Yeh tumhara khuda hai?” Jaise hi Aap ne apne haath se ishaara kiya woh but toot kar zameen par gir gaya. Yeh dekhkar Raaja mutaṡṡir hua.

Raaja ne Patan me ek masjid ta’ameer ki jo ‘Masjid Karna’ ke naam se mash'hoor hai.
Aap ne Patan me qayaam karke isha’at wa tabligh e islaam karna shuru kiya aur ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe. 51 saal me hazaaro logo ne Islaam apnaaya. Aap ‘Muballigh-e-Aazam’ kehlaate hain.

Aap Qutb-e-zamaan the.

****************
Aap ki nasl me Hazrat Makhdoom Qaazi Sayyed Ahmad Jood aur Hazrat Sayyed Hasan Faqeeh rahmatullāhi alaihi mash'hoor hain.

****************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Naseer-ud-deen Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

****************
Aap ka wisaal 15 Rajab 536 Hijri (February 1142 A.D.) ko 120 saal ki umr me hua.

****************
Aap ka mazaar Patan (Gujarat) me Khan Sarovar Darwaaza ke paas hai.

****************
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sultaan Sayyed Haaji Hood rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi :♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Mazeed Posts ke liye Website dekhen :(F...
16/01/2025

Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Saadiq [Truthful], Faazil [Virtuous], Taahir [Pure].

*****************
Aap ki wilaadat 17 Rabi-ul-Awwal 83 Hijri (20 April 702 A.D.) ko Madeena me hui.

*****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Baaqir bin Imaam Zainul aabideen Sayyed Ali al-Aswat rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Hazrat Umme Farwah, Faatima bint Hazrat Qaasim bin Muhammad bin Abu Bakr Siddeeq rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadaat hain.

******************
Aap ne apne daada Imaam Zain-ul-aabideen aur waalid Imaam Muhammad al- Baaqir se Qur'ān, Hadeeṡ aur Tafseer ki ta’aleem haasil ki.

******************
114 Hijri (733 A.D.) me Aap apne waalide mohtaram ke inteqaal ke ba’ad 31 baras ki umr me Imaam bane.
Aap Aa'imma e Ahle bait ke chhathe (6th) Imaam hain.

******************
Aap Hadeeṡ, Tafseer, Fiq'h [Islamic jurisprudence], Falsafa [Philosophy], Ilme kalaam (Theology), Ilme Riyaazi [Mathematics], Ilme Hai'at wa falaq [Astronomy], Ilme Tashreeh [Anatomy], Ilme Keemiya [Alchemy] aur dusre uloom me maahir the.

Aap Masjide Nabawi me ta’aleem wa tadrees karte the.
Aap ne Tijaarat [commerce], Miraaṡ [inheritance] aur Zakaat aur dusre bahot saare masaa'il ke hal bataaye.

******************
Aap ka ilm, husne akhlaaq, sakhaawat, saadgi aur ibaadat mash'hoor hai.

******************
Ek din kisi shakhs ki deenaar ki thaili kho g*i to us ne Hazrat Imaam Ja’afar Saadiq rahmatullāhi alaihi par shak karke iljaam lagaate hue kaha “Meri thaili aap hi ne churaai hai.” Aap ne us se puchha ke “Us me kitni raqam thi?” Us ne kaha “2000 deenaar.” Aap ghar ke andar tashreef le gaye aur 2000 deenaar laakar use de diye.

Ba’ad me jab us shakhs ko us ki khoi hui thaili kisi dusri jagah se mil g*i to us ne aakar pura qissa bayaan karke muafi maangi aur Aap se apni raqam waapas lene ki iltija ki. Magar Aap ne farmaaya ke “Hum kisi ko dekar waapas nahi lete.” Phir jab us ko logo se Aap ka naam mubarak ma’aloom hua to us ne behad nadaamat ka izhaar kiya.

******************
Ek baar Aap ne apne khaadim ko kisi kaam se bheja. Us ko waapas aane me bahot zyada der ho g*i to aap us ko talaash karne ke liye nikle. Thodi door jaane par aap ne dekha ke woh khaadim ek maqaam par so raha hai aur use paseena ho raha hai. Aap use pankhe se hawa karne lage. Kuchh der ba’ad jab woh jaaga aur Imaam ko pankha karte dekhkar sharminda hua. Aap ne us se kaha “Ghabhrao nahi. Magar ek baat yaad rakhna ki din ke waqt me kaam karna chaahiye aur raat ke waqt me sona chaahiye.”

******************
Ek baar Aap ne besh qeemati libaas pehna to yeh dekhkar ek shakhs ne aap se kaha “Aye Aale Rasool! Itna qeemati libaas Ahle bait ko zeba nahi.”
Aap ne uska haath pakadkar aastin ke andar me rakha to us ne dekha ki aap ne neeche taat jaisa khurdara libaas pehna tha. Aap ne farmaaya “Yeh khalq ke liye hai aur woh khaaliq ke liye hai.”

******************
Ek martaba Aap ne farmaaya “Ek Momin ke paas 4 cheeze honi chaahiye : (1) Wasee [bada] ghar, (2) Achhi sawaari, (3) Achha libaas, (4) Aisa chiraagh jo us ke ghar ko roshan kar sake.”
Ek Shakhs ne arz kiya “Huzoor! Agar humare paas ye cheeze na ho to hum kya karen?”
Aap ne jawaab diya “Tum ne is ke zaahir ko dekha hai is ke baatin par gaur karo. Wasee ghar se muraad Sabr hai, Behtareen sawaari insaan ki Aql hai, Sab se achha libaas Haya hai, Behtareen chiraagh ilm hai jo Khuda ki bandagi wa ita’at sikhaata hai.”

******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Agar namaaz padhne se hum gunaah aur bure kaamo se baaz aa jaayen to yeh samjho ki hamari namaaz qubool ho rahi hai.

(2) Agar tum izzat chaahte ho to Narmi ikhtiyaar karo aur agar zaleel hona chaahte ho Sakht bano.

(3) Ghussa har burai ki jad hai. Ghussa aqlmand insaan ko bhi barbaad kar deta hai.

(4) 3 nek amal Dunya me aur aakhirat me faa'ida dete hain :
Jis ne tumhare saath bura kiya ho use maaf kar do, Jo tumhe chhod gaya hai use milte raho aur jab tumhare saath jahaalat bhara bartav kiya jaaye to sabr karo.

(5) Jo chala gaya hai [ganwa diya hai] us ke baare me lagaataar socha mat karo kyun ki us ke baare me sochna tumhare dimaagh ko us (ke baare me sochne) se hata deta hai jo milne waala hai.

(6) Jo cheez ALLĀH ta’ala se hataakar dusri cheezon me mashgool kare un ko baghair kisi afsos ke tark karne ko Zohad kehte hain.

(7) Kisi neki ko maamooli na jaano, ke wo hi ALLĀH sub'hān wa ta’ala ki khushnudi ka baa'iṡ ho sakti ho.

(8 ) ALLĀH se agar kuchh maangna hai to Narm zubaan maango.

(9) Jab ALLĀH ta’ala tumhe koi ne'amat ata farmae aur tum use hamesha baaqi rakhna chaahte ho to us ka shukr ada karo kyun ki shukr ada karne waale ko ALLĀH ta’ala zyada ata farmaata hai.

(10) Tama [laalach] insaan ko zaleel karti hai aur us ke yaqeen ko kharaab karti hai.

(11) Ek bhuke mo’min aur us ke ghar waalo ko khaana khilaana, jis ke paas pehanne ke kapde na ho use kapde pehnaana aur us ek chehre ko bhik ki zillat se bachaana ye 70 ghulaamo ko aazaad karaana aur 70 Hajj karne se bhi ziyada ALLĀH ko pasand hai.

(12) Jo shakhs kisi dusre ki parda-daari karta hai ALLĀH ta’ala us ke ghar ke posheeda haalaat ki parda-daari karta hai.

(13) Intiqaam lene ki salaahiyat hone ke bawajood bhi apne ghusse par qaabu rakhna ek azeem Jihaad hai.

(14) 4 qism ke insaan ki sohbat se bacho :
[1] Jaahil, kyun ki woh apni jahaalat se museebat me daal sakta hai.
[2] Jhut bolne waala, kyun ki woh kabhi bhi dhoka de sakta hai.
[3] Bakhil aur Laalachi, kyun ki woh apne matlab ke liye tumhe nuqsaan pahuncha sakta hai.
[4] Bad-akhlaaq kyun ki woh museebat ke waqt tumhe madad nahi karega.

******************
Hazrat Imaame aazam Abu Haneefa rahmatullāhi alaihi farmaate hain “Agar 2 saal Imaam Ja’afar Saadiq rahmatullāhi alaihi ke saath na guzaarta to Noamaan halaak ho jaata.”

******************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Aap Makkah mukarrama me ek gali se guzar rahe the. Aap ne dekha ki ek aurat aur us ke bache ro rahe the aur qareeb me ek gaaye murda padi thi. Aap ne us aurat se puchha ki “Tum aur tumhare bache kyun ro rahe hain?” Us ne kaha “Huzoor! Mera aur mere bacho ka guzaara is gaaye ke doodh par tha. Yeh mar g*i hai aur hum isi museebat aur gham ki wajah se ro rahe hain.” Aap ne farmaaya “Kya tum chaahti ho ki ALLĀH ta’ala tumhari gaaye ko zinda kar de?” Aurat ne kaha “Mujh par museebat padi hai aur aap aisi baat kar rahe hain.” Imaam Ja’afar Saadiq ne dua farmaai aur apne qadam se gaaye ko ek thokar maari aur woh zinda hokar khadi ho g*i. Phir Aap tashreef le gaye.

(2) Ek martaba Aap Hajj ada ke liye jaa rahe the. Raaste me apne saathiyo ke saath ek maqaam par thehre. Waha khajoor ke sukhe darakht the. Aap ne kuchh padha. Phir un Khajoor ke sukhe darakhto ko dekhkar farmaya ke “ALLĀH ta’ala ne tum me hamare liye jo rozi rakhi hai us se hamari mehmaan nawaazi karo.” Achanak wo khajoor ke sukhe darakht sar sabz o shaadaab ho kar Aapki jaanib jhuke jin me umda qism ki khajooro ke guchchhe latak rahe the. Aapne farmaya “Bismillāh padh kar khaao.” Sab ne Aapke hukm ki taamil karte hue khajoore khaai. Aisi umda aur lazeez khajoore unho ne kabhi khai na thi. Waha ek Airaabi bhi maujood tha. Usne kaha ke “Aaj jaisa Jaadu maine kabhi nahi dekha.” Aap ne farmaaya “Aye Airaabi! Hum jaadoogar ya kaahin nahi hain. Hum Ambiya ke waariṡ hain. Hum dua karte hain jo ALLĀH apne karam se qubool farma leta hai.” Phir Aapne farmaaya “Agar hum dua karen to abhi tum kutte ki shakl me ho jaao.” Chunke Airaabi jaahil tha, woh kehne laga “Abhi dua kijiye.” Aapne dua ki to woh Airaabi kutta ban gaya aur bhaag gaya. Aap ne ek shakhs se farmaya ke “Uske pichhe pichhe uske ghar jaao aur uska haal dekho”. Chunanche jab woh uske pichhe uske makaan par pahuncha to dekha ke woh Airaabi jo ab kutte ki shakl me tha apne ghar waalo ke saamne apni doom hilaane laga. Uske ghar waalo ne kutta samajh kar use danda maar kar bhaga diya. Usne waapas aa kar saara haal Imaame paak ko bataaya. Itne me woh Airaabi jo kutte ki shakl me tha woh bhi aa gaya aur Aapke saamne zameen par lotne laga aur uski aankho se aansoo jaari the. Aap ko us par taras aa gaya. Aapne phir se dua farmai to woh insaani shakl me aa gaya. Phir Aapne farmaya “Aye Airaabi ! Jo maine kaha tha us par yaqeen aaya ya nahi?” Airaabi kehne laga “Haan! Ek baar nahi hazaaro baar yaqeen rakhta hu.”

(3) Ek martaba ek shakhs ne Aap ki khidmat me haazir hokar arz ki ke “Huzoor! Main hajj ke liye jaa raha hu. Yeh 10000 dirham lijiye aur mere liye ek makaan khareed lijiye. Jab main waapas aaunga to apne ahl o ayaal ke saath us me rahunga.” Aap ne yeh tamaam raqam raahe khuda me sarf kar di.
Jab haaji sahab laute aur haazir e khidmat hue to Aap ne farmaya “Haaji sahib! Maine aapke liye jannat me makaan khareed liya hai jo ek simt se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kaashaana e aqdas se milta hai doosri simt se Maula e kaa'inaat Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mahel se milta hai aur teesri jaanib se Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mahel se aur chauthi jaanib se Imaam e Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mahel se, yeh lo iska bai'a-naama.” Haji sahab ne bai'a-nama ka kaagaz liya aur ghar chale gaye. Ahle khaana se wasiyat ki “Meri wafaat ke ba’ad yeh kaagaz meri qabr me rakh dena.”
Jab haaji saahab ka inteqaal hua to hasb e wasiyat woh kaagaz qabr me rakh diya gaya. Dusre din wohi bai'a-naama ka kaagaz qabr ke upar rakha hua mila, uski pusht par likha hua tha ‘Imaam Ja’afar Saadiq rahmatullāhi alaihi ne apna wa’ada sach kar dikhaaya.’

(4) Abu Basheer bayaan karte hain ke “Main Madeena munawwara gaya hua tha. Ek din maine apni baandi se sohbat ki aur ghusl ke liye jaa raha tha ki logo ka hujoom ek taraf jaate dekha to main bhi usi taraf chal diya, tamaam log Hazrate Imaam Ja’afar Saadiq ki baargaah me pahunchkar un ki ziyarat karne lage. Main bhi shareek ho gaya. Jab Hazrat ki nazar mujh par padi to farmaaya : Kya tumhe pata nahi ke Nabi aur nabi ki Aal ki baargaah me haalate janaabat me nahi aate?’ Yeh sunkar main hairaan reh gaya aur foran tauba ki aur aa'inda aisa na karne ka ahad kiya.

(5) Ek saahab ke dost ko Khalifa Mansoor ne qaid kar liya tha. Hajj ke mausam me maidaane Arafaat me us shakhs ki mulaaqaat Hazrat Imaam Ja’afar Saadiq se hui. Imaam ne us ke dost ke muta’alliq puchha. Us ne kaha “Huzoor! Woh abhi tak qaid me hai.” Aap ne dua ki. Phir ek ghante ke baad farmaaya ke “Khuda ki qasam. Tumhare dost lo aazaad kar diya gaya hai.”
Hajj se faarigh hokar jab woh shakhs waapas aaya to apne dost se puchha ke “Tumhari rihaai kis din hui?” Us ne kaha “Arafaah ke din jab Haaji log maidaane Aarfaat me hote hain usi din mujhe chhod diya gaya.”

******************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya aur 5 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.

(1) Bibi Faatima bint Husain Asram bin Hasan Muṡanna se
2 saahabzaade – Ismāeel al-Arij aur Abdullāh al-Aftaah.

(2) Hameeda Khaatoon se
3 saahabzaade – Moosā al-Kaazim, Muhammad al-Dibaaj, Ali al-Uraizi.
3 saahabzaadiya – Faatima, Umme Farwah, Asma.

******************
Aap ke shaagirdo me Imaam Abu Haneefa Noamaan ibn Ṡaabit, Imaam Maalik bin Anas, Hazrat Sufyaan al-Ṡauri, Hazrat Jaabir ibn Hayyaan, Qaazi Sukuni aur Qaazi Abul Bakhtari mash'hoor hain.

*****************
Aap ko Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Baaqir rahmatullāhi alaihi se ‘Alawi Husaini’ silsile ki aur Hazrat Qaasim bin Muhammad bin Abu Bakr Siddeeq rahmatullāhi alaihi se ‘Siddeeqi’ silsile ki Khilaafat mili hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Imaam Sayyed Moosā al-Kaazim rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Baayazeed Bastami rahmatullāhi alaihi.

******************
Umayya khalifa Hishaam ibn Abdul Malik ki hukoomat ke dauraan zulm ke khilaaf jab logo ne baghaawat karne ka faisla kiya to Aap ne un ko samjhaaya ki jung ke ilaawa dusra raasta ho to pehle woh aajmaana chaahiye.
Logo ne khalifa banaane ke liye kaha to Aap ne farmaaya “Mujhe hukoomat ki zaroorat nahi. Yeh tamaam mulk ALLĀH ta’ala ka hai aur mere liye ye kaafi hai ki ALLĀH ta'ala ne mujhe izzat aur logo ke dilo par hukoomat ata farmai.”

Umayya hukoomat ke khilaaf awaam ki jung me aap ke chacha Hazrate Zaid, Yahyā ibne Zaid aur dusre kai rishtedaar aur azeez shaheed hue aur ba’az ko giraftaar karke saza di g*i.

Is ke ba’ad Hishaam ne Imaam ko giraftaar karke Damishq me rakha.

132 Hijri (750 A.D.) me Abdullāh as-Saffah ne Marwaan ibn Muhammad ko haraakar Abbaasi hukoomat shuru ki. as-Saffah ne Imaam ko nazar-qaid karke rakha.

136 Hijri (754 A.D.) me al-Mansoor baadshaah bana to us ne Saadaat se bughz ki wajah se Aap ki mehfil aur taqreer par nazar rakhna shuru kiya aur logo ko Aap se milne se rokne laga.
Phir Imaam ko giraftaar karke Samarra (Iraq) me nazar qaid karke rakha.
Phir kuchh arse ba’ad Aap ko Madeena laaya gaya.
Aakhir me al-Mansoor ke hukm se Aap ko zeher diya gaya.

******************
Aap ka wisaal 15 Rajab 148 Hijri (14 December 765 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.

******************
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

******************
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Ummul mo’mineen Hazrat Zainab bint Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha :♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Mazeed Posts ke liye Website...
15/01/2025

Ummul mo’mineen Hazrat Zainab bint Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
Aap ki wilaadat 593 A.D. me hui.

****************
Aap ke waalid ka naam Jahsh ibn Riyab aur waalida ka naam Umayma binte Abdul Muttalib hai.

Aap Quraish ke Banu Asad khaandaan se hain.

Aap ki waalida Umayma Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waalid Hazrate Abdullāh ki sagi bahen thi.

****************
3 Hijri (625 A.D.) me Aap ka Nikaah Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu se hua jo Hazrate Khadeeja bint Khuwailid radiy-Allāhu ta’ala anha ke Ghulaam the aur jin ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne god lekar apna munh bola beta banaaya tha.

5 Hijri (626 A.D.) Jab Hazrat Zaid ibn Haariṡah ne Aap ko talaaq de diya.
Us ke ba’ad Aap ka nikaah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath hua to ALLĀH ta’ala ne Aayat naazil farmai : ‘Phir jab Zaid ne use [Zainab ko] talaaq dene ki garz puri kar li, to hum ne us se Aap ka nikaah kar diya taake mo’mino par un ke munh bole beto ki biwiyo (ke saath nikaah) ke baare me koi harj na rahe jab ke woh (talaaq dekar) un se alag ho gaye ho, Aur ALLĀH ka hukm to pura kiya jaane waala hi tha.’ (Qur'ān : Soorah al-Ahzaab, Aayat 37).

Nikaah ke waqt Aap ki umr 35 saal aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam 58 saal thi.

Nikaah ke ba’ad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne da’awate Waleema ki jis me ek bakri zubah ki g*i aur 300 logo ko khaana khilaaya gaya. Khaana khaane ke ba’ad log usi kamre baithkar baato me mashgool ho gaye to ALLĀH ta’ala ne Aayat naazil farmaai :
‘Aye Eimaan waalo! Nabi ke ghar me daakhil na hua karo siwa e us ke ke tumhe khaana khaane ke liye ijaazat di jaaye (magar) khaana pakne ka intazaar karne waale na bana karo, Haan jab tum (khaana khaane ke liye andar) bulaaye jaao to andar aaya karo phir jab khaana khaa chuko to foran muntashar ho jaaya karo aur waha baato me dil lagaakar (der tak) baithe rehne waale na bano, Yaqeenan tumhara aisa rehna nabi ko takleef deta hai aur woh tum se (chale jaane ko kehne me) sharmaate hain aur ALLĀH haq (baat bataane) se nahi sharmaata.’ (Qur'ān : 33 Soorah al-Ahzaab, Aayat 53)

****************
Aap bahot ziyada Muttaqi, Sakhi, Ibaadat guzaar aur Saadiqa thi.

Aap akṡar Roza rakhti thi aur raat me uthkar ibaadat kiya karti thi.
Aap ibaadat karte karte thak jaati to ek rassi ke sahaare se khadi hoti magar ibaadat jaari rakhti.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne rassi ko dekhkar kisi se puchha to is baat ka pata chala tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne sahaaba se faramaaya ke “Ise khol do. Jab tak tum taaza ho tab tak ibaadat karo. Jab tum thak jaao ya tumhari tawajjoh na rahe tab tumhe rook jaana chaahiye.”

Aap jaanwaro ke chamde ko sukhaakar us ko see kar use bechti thi aur jo raqam milti thi use haajatmando ko khairaat karti thi.

Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apni Azwaaj e Mutah'hiraat se farmaaya “(Mere wisaal ke baa’d) Tum me sab se pehle mujhe woh milegi, jis ke Haath lambe honge.” Azwaaj e mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ek jagah jama hokar apne haatho ko naapne lagi to pata chala ke sab me Hazrat Saudah binte Jama’a radiy-Allāhu anha ke haath taweel the.
Magar sab se pehle Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha ka wisaal hua. Tab pata chala ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan me Daraaz e Dast [Haath ki Tawaalat] se muraad Sadqah aur Neki me kaṡrat thi aur yeh khoobi sab se ziyada Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha me paai jaati thi.

Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu ke zamaane me Faars [Iran] par fateh haasil hui to Sultaan Chosroes ka bahot bada khazaana haasil hua. Jab Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu us maal ko taqseem kar rahe the tab us me se kuchh hissa unho ne Azwaaje mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ko ko bhi bheja. Hazrat Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu anha ne apni khaadima ko Madeena munawwara ke ghurba ki fehrist banakar di aur apne hisse ke maal me se un sab ko dene ke liye farmaaya. Sab ko dene ke ba’ad jab khaadima ne baaqi 80 deenaar Aap ki khidmat me pesh kiye to Aap ne ALLĀH ki marzi maankar use rakh liye. Phir dua farmaai ke “Aye ALLĀH! Aa'inda mujhe itna saara maal mat dena kyun ki mumkin hai ke mujh me maal ki laalach paida ho jaaye.”
ALLĀH ta’ala ne Aap ki dua qaubool farmaai aur kuchh arse ba’ad jab Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu anhu ko phir se maal mila aur Azwaaje mutah'hiraat radiy-Allāhu anhuma ko us maal me se hissa dene ke liye aaye to us se pehle hi Aap ka wisaal ho chuka tha.

**********************
Aap ka wisaal 14 Rajab 21 Hijri (June 642 A.D.) ko hua.

**********************
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

****************
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul mo’mineen Hazrat Zainab bint Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Sahaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Hazrat Ghaazi Saalaar Mas'ood rahmatullāhi alaihi :♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Mazeed Posts ke liye Website dekhen :(For more pos...
15/01/2025

Hazrat Ghaazi Saalaar Mas'ood rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sultaan-ush-Shohada fil Hind, Baala Peer.

*****************
Aap ki wilaadat 21 Rajab 405 Hijri (15 January 1015 A.D.) ko Itwaar ko Subah saadiq ke waqt Ajmer me hui.

*****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ghaazi Saalaar Saahoo Daawūd bin Ata-ullāh aur waalida ka naam Sitr-e-Mu'alla binte Sultaan Naasir-ud-deen Sabuktigin hai.

Aap Hazrat Muhammad ibnul Hanafiyyah bin Ali al- Murtaza rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

Aap Sultaan Mahmood Ghaznawi ke bhaanje hain.

Jab Raay Somkaran aur 40 Raajao ne ek bahot bade lashkar ke saath Ajmer ko gher liye to Sultaan Mahmood Ghaznawi ne Aap ke waalid Hazrat Ghaazi Saalaar Saahu ko Ajmer ke Governer Muzaffar Khan ki imdaad ke liye bheja.
Ajmer ki yeh muhim kaamyaab hone ke ba’ad jab amn o sukoon ka maahol ho gaya to 8 Shawwaal 404 Hijri ko Aap ki waalida bhi Ghazni se Ajmer aa g*i.

Aap ki wilaadat ke kuchh waqt baad mufsido aur shareero ne Kahilar ar hamla kiya to Sultaan Mahmood Ghaznawi ke farmaan par Aap ke waalid lashkar ke saath Ajmer se Kahilar gaye. Kalihar me fateh ke baad Sultaan Mahmood Ghaznawi ne un ko Kalihar ki jaagir ata ki aur unho ne apni biwi aur saahabzaade ko bhi Kalihar bula liya aur waha sukoonat pazeer hue.

**************
Aap ne Hazrat Sayyed Ibrāheem Barah Hazari se ta’aleem haasil ki. 9 saal ki umr tak Hazrtat ne Aap ko zaahiri aur baatini uloom se muzayyan kar diya.

10 saal ki umr se Aap ne Qur'ān majeed ki Tilaawat aur Namaaze Ishraaq wa Chasht paabandi se ada karna shuru kar diya,
Aap hamesha ba-wuzu rehte the.

**************
417 Hijri (1026 A.D.) Sultaan Mahmood Ghaznawi ne jab Somnath par hamla kiya tab Aap 11 saal ki umr me un ke saath shareek hue. Somnath fatah hone ke ba’ad Sultaan Ghazni waapas laut gaye. Magar Aap barr-e sagheer me hi rook gaye.

422 Hijri (May 1031 A.D.) me Aap Meer Husain Arab aur Ameer Vazeed Ja’afar ke saath 1,00,000 sipaahiyo aur 50,000 ghode ka lashkar lekar jihaad ke liye rawaana hue. Yaha Saalaar Saif-ud-deen, Meer Bakhtiar, Sayyed Azeez-ud-deen and Malik Bahr-ud-deen ka lashkar bhi Aap ke lashkar ke saath shareek hua.

Miyan Rajab aur Saalaar Saif-ud-deen ne Brahmarchi [Bahraich] ki taraf aage badhe. Ameer Hasan Arab ne Mahona ko aur Malik Fazal ne Varanasi ko fatah kiya. Sultaan-us-Salaateen aur Meer Bakhatiar Kannor se aage gaye. Meer Bakhtiar kaafiro se jung karte hue shaheed ho gaye.
Phir Karra and Manikpur ke Raajao ka zulm aur fasaad door karne ke liye Saalaar Saahu ne jung ki aur Karra and Manikpur ko fatah kiya. Karra me Malik Abdullāh ko naa'ib banaaya aur Manikpur me Qutub Haidar ko naa'ib banaaya. Sayyed Azeez-ud-deen ko Hardoi ki taraf bheja magar Gomti nadi ke kinaare Gopamau me jung me woh shaheed ho gaye.

Meerut, Kannauj aur Malihabad hote hue Aap Satrikh pahunche. Waha se Aap ne Meerut aur Ujjain par chadhaai ki. Magar waha ke raajao ne sulah kar li. Is ke ba’ad Saket ko fatah kiya. Saalaar Saahu Dalmau fatah karke Aap ke paas Satrikh aaye.

Phir Aap Ayodhya ki taraf rawaana hue. Zaidpur, Baba Bazar aur Rudauli hote Aap Raunahi pahunche. Yaha se Aap ek gaanv me pahunche jo haal me Salarpur ke naam se mash'hoor hai.

Phir Aap ne Brahmarchi [Bahraich] ki taraf k***h karne ka iraada kiya. Brahmarchi me Balark Mandir naam ka Surya Mandir tha. Jaha par Bauli aur Surya Kund tha. Aur is mandir ko Hindu bahot maante the.
Hindu raajao ko jab is baat ka pata chala to Rai Raib, Rai Saib, Rai Arjun, Rai Bheekhan, Rai Kanak, Rai Kalyan, Rai Makaru, Rai Savaru, Rai Aran, Rai Birbal, Rai Jaypal, Rai Shreepal, Rai Harpal, Rai Hakru, Rai Prabhu, Rai Deo Narayan aur Rai Narsinha naami 17 raajao ne milkar muqaabala karne ke liye tayyaari ki. Bais Rajput, Arkawanshi kshatriya, Kalhans Rajput, Raikwars aur Bhar kabeele ne bhi saath diya. Ba’ad me Rai Sahar Dev aur Rai Hardev bhi shareek hue. Sravasti ke Raja Suheldev ki sardaari me tamaam Kshatriya jama hue. Aur Ghaazi Sayyed Saalaar Mas'ood ko paighaam bheja gaya ke “Yeh ilaaqa Hinduo ka hai aur tum yaha se waapas laut jaao.” Magar Aap ne jawaab me farmaaya ke “Tamaam mulk ALLĀH hi ka hai aur is liye main kufr ko door karne ka kaam chhodkar yaha se jaa nahi sakta.”

13 Rajab 424 Hijri (13 June 1032 A.D.) ko Kshatriya lashkar ne hamla kiya aur Aap ke lashkar ko gher liya. 2 din ki Jung me Aap ke tamaam saathi shaheed ho gaye aur aakhir me dusre din shaam ko Aap bhi jung karte hue shaheed ho gaye. Hazrat Sayyed Ibrāheem Barah Hazari ne Raja Suheldev ko qatl kiya.

*******************
Aap Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Husaini Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.

****************
Aap ka wisaal 14 Rajab 424 Hijri (15 June 1033 A.D.) ko 19 saal ki umr me hua.

****************
Aap ka mazaar Bahraich (Uttar Pradesh) me hai.

****************
Aap ke aastaane ke qareeb ek chhota sa hauz hai. Aap ke urs mubarak ke mauqe par juzaam [leprosy] ke mareez us hauz ke paani se ghusl karte hain aur hauz ki mitti ko apne zakhmo par lagaate hain. Har saal juzaam ke 6 mareez ALLĀH ke fazl se shifa-yaab hote hain.

*******************
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ghaazi Saalaar Mas'ood rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur tamaam Auliya Allāh aur shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Address

Juhapura
Ahmedabad
380055

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Humanity Of Islam posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Humanity Of Islam:

Share

Category