Umera Ahmed Official

Umera Ahmed Official Popular writer Umera Ahmed's official page to interact and stay updated with her upcoming work. Space to share ideas and thoughts.
(1)

Feedback : [email protected]
Become a Patreon: https://www.patreon.com/umeraahmed Admins:

Hasan Umar
Misbah Shafique
Aishay Khan
Umera Ahmed


Feedback : [email protected]

"Mera khayal tha aur ab bhi hai k jab Insaan bara hojata hai tu ussay apni kamzoriyon aur mehroomiyon ka khud saddebaab ...
01/01/2025

"Mera khayal tha aur ab bhi hai k jab Insaan bara hojata hai tu ussay apni kamzoriyon aur mehroomiyon ka khud saddebaab karna chahiye. Saari zindagi aap apnay maazi ki mehroomiyon k baaray mai ronay ro ro kar tu loagon say maraa'at nahi lay saktay aur phir aisa kaun hai iss duniya mai jo mehroom na ho, koi na koi kami ya khaami tu her shakhs k saath lagi rehti hai."
Hum Kahan Kay Sacchay Thay - Umera Ahmed



Order Now:
https://uabooksonline.com/product/hum-kahan-kay-sacchay-they/
DM to place order or Whatsapp:
0340-0009252

"Duniya aap say aap ki worth maangti hai, woh aap say poochti hai k aap ussay kiya day saktay hain, uss k baad woh aap k...
01/01/2025

"Duniya aap say aap ki worth maangti hai, woh aap say poochti hai k aap ussay kiya day saktay hain, uss k baad woh aap ki jagah aur ahmiyat ka ta'ayyun karti hai, yeh tay karti hai k ussay aap ko kitni izzat deni hai. Agar duniya ko yeh ahsaas hojaye k aap uss k liye kuch nahi kar saktay tu wo aap ko aap ki saari khoobiyon samait utha kar baahir phaink deti hai."
Thora Sa Aasman - Umera Ahmed

Order Now:
https://uabooksonline.com/product/thora-sa-asmaan/
Or
DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

Tum ko apni naiki choti lagti hai, mujh ko apni naiki choti lagti hai. Agar sab ko apni apni naikiyan itni choti lagni l...
01/01/2025

Tum ko apni naiki choti lagti hai, mujh ko apni naiki choti lagti hai. Agar sab ko apni apni naikiyan itni choti lagni lagain tu duniya kitni acchi hojaye?
Daam - Umera Ahmed

انسان کو اگر اس نے چھوڑا ہو جس سے وہ سب سے زیادہ محبت کرتا ہے تو وہ رنج میں اس کو سب سے زیادہ تکلیف پہنچانے لگتا ہے جو ا...
31/12/2024

انسان کو اگر اس نے چھوڑا ہو جس سے وہ سب سے زیادہ محبت کرتا ہے تو وہ رنج میں اس کو سب سے زیادہ تکلیف پہنچانے لگتا ہے جو اس سے سب سے زیادہ محبت کرتا ہو۔ یہ انتقام نہیں ہوتا سیلف میکنزم ہوتا ہے، دوبارہ ویسی تکلیف سے بچنے کی کوشش۔
من و سلویٰ از عمیرہ احمد



DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

"Agar kisi mard ya aurat ki shaadi na ho tu iss ka yeh matlab nahi hota k uss ki zindagi barbad hogai. Agar waqai yeh sa...
31/12/2024

"Agar kisi mard ya aurat ki shaadi na ho tu iss ka yeh matlab nahi hota k uss ki zindagi barbad hogai. Agar waqai yeh samajh liya jaye k shaadi ho janay ka matlab yeh hai k aap ki zindagi bekaar nahi hai aur aap ki zindagi barbad bhi nahi hui tu phir talaaqain kiun hoti hain? Bohat say loagon k shohar aur beewiyan kiun mar jati hain? Uss k baad un mai say bohat say doosri shaadi nahi kartay, kiya unn ki zindagi barbaad hogai ya bekaar? Zindagi k bekaar honay ka ta'aluq sirf shaadi say nahi hota. ALLAH nay sirf shaadiyan karwanay k liye Insaanon ko paida nahi kiya hoga. Uss shakhs mai khoobiyan aur khaamiyan donon makhsoos tadaad mai daal di hongi."
Thora Sa Aasman - Umera Ahmed

DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

’پتا نہیں غصے کی وہ کون سی حالت ہوتی ہے جس میں انسان برسوں کے ساتھ اورساتھی کو لمحوں میں چھوڑنے کا فیصلہ کر لیتا ہے۔ پیا...
31/12/2024

’پتا نہیں غصے کی وہ کون سی حالت ہوتی ہے جس میں انسان برسوں کے ساتھ اورساتھی کو لمحوں میں چھوڑنے کا فیصلہ کر لیتا ہے۔ پیار، محبت، اعتماد، دوستی کوئی چیز پاؤں کی زنجیر نہیں بن پاتی۔‘
عکس از عمیرہ احمد



DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

"Loagon ki fitrat bohat ajeeb hoti hai. Woh apnay irdgird mojood doosray loagon ko sirf unn k masaail say aagah kartay h...
31/12/2024

"Loagon ki fitrat bohat ajeeb hoti hai. Woh apnay irdgird mojood doosray loagon ko sirf unn k masaail say aagah kartay hain, kisi hal mai madadgaar nahi bantay. Dus loag agar kisi shakhs ko uss k dus masaail say aagah karnay k bjayae mil kar sirf 2 masaail ka hal paish kardain tu uss shakhs k liye asaaniyon ka darwaza agar mukammal toar per na sahi, magar khul zaroor jata hai."
Thora Sa Aasman - Umera Ahmed

DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

"Main agar saaari zindagi bhi sajday mai para rahun tu tera shukar ada nahi kar sakta. Main agar saari zindagi bhi apni ...
31/12/2024

"Main agar saaari zindagi bhi sajday mai para rahun tu tera shukar ada nahi kar sakta. Main agar saari zindagi bhi apni zaban per teray ilawa kisi ka naam na anay dun tu tera haq ada nahi kar sakta. Duniya mai mujh say ziada iss waqt koi tera ahsaanmand nahi hoga aur too beshak hamara Rab hai. Hum per mehrbaan hai, hamari sun'nay wala hai."
Wujood e Laraib - Umera Ahmed

"Maan Baap k liye zindagi bohat asaan nahi hoti... Bohat saaray mahaazon per aik saath lar rahay hotay hain... Jab itni ...
30/12/2024

"Maan Baap k liye zindagi bohat asaan nahi hoti... Bohat saaray mahaazon per aik saath lar rahay hotay hain... Jab itni saari mushkilat ho tu ghalatiyan hojati hain."
Qaid-e-Tanhai - Umera Ahmed

زندگی میں سائن بورڈز اور روڈ سائنز کو بھولنا مشکل ہوتا ہے… پھر زندگی میں آنے والے انسانوں کو کیسے بھلایا جا سکتا ہے… جس ...
30/12/2024

زندگی میں سائن بورڈز اور روڈ سائنز کو بھولنا مشکل ہوتا ہے… پھر زندگی میں آنے والے انسانوں کو کیسے بھلایا جا سکتا ہے… جس راستے سے ایک بار گزر ہو جائے وہاں کی نشانیاں ذہن میں بیٹھ جاتی ہیں اور سالوں بعد بھی دوبارہ اسی راستے پر گزرتے ہوئے انسان پہچان، شناخت، تلاش اور دریافت کے جذباتی مراحل سے گزرتا ہے تو زندگی میں ساتھ چلنے والے انسان کیسے ہمارے ذہن پر اپنے نقوش اور یادیں نہ چھوڑ جائیں۔ آواز، انداز، نقش، نظر، لفظ، لمس، عادت، آہٹ یہ کیسے ممکن ہے انسان کو بھولنے کے ساتھ ساتھ یہ سب بھی بھول جائے… کبھی وہم نہ ہو، کبھی شائبہ سا نہ گزرے، کبھی یادوں کی پرچھائیاں فریب نہ دیں۔
عکس از عمیرہ احمد



DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

"بڑا آدمی بننا بہت بڑا کمال ہے لیکن بڑا آدمی بننے کے بعد چھوٹا آدمی نہ بننا اس سے زیادہ بڑا کمال ہے۔''عکس از عمیرہ احمد'...
30/12/2024

"بڑا آدمی بننا بہت بڑا کمال ہے لیکن بڑا آدمی بننے کے بعد چھوٹا آدمی نہ بننا اس سے زیادہ بڑا کمال ہے۔''
عکس از عمیرہ احمد

'It is difficult to reach greatness but to retain greatness is a far more difficult task indeed.'
Aks - Umera Ahmed



DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

Aulaad apnay liye dozakh bana rahi ho tu Maan k qadmon ki jannat ko bhi aag lag jati hai.Thora sa Aasman - Umera AhmedDM...
30/12/2024

Aulaad apnay liye dozakh bana rahi ho tu Maan k qadmon ki jannat ko bhi aag lag jati hai.
Thora sa Aasman - Umera Ahmed

DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

"Her aik ko bhikaari bana kar raastay mai bithaya hua hai aur her aik khud ko maalik samajhta hai jab tak thokar nahi la...
30/12/2024

"Her aik ko bhikaari bana kar raastay mai bithaya hua hai aur her aik khud ko maalik samajhta hai jab tak thokar nahi lagti, jab tak ghutnon per nahi girta. Apni auqaat ka pata hi nahi chalta."
Shehrezaat - Umera Ahmed



DM to place order or Whatsapp:
0340-0009252

"Mard ko aurat ka nigehbaan banaya hai tahaffuz denay k liye, maar peet k liye nahi."Kankar - Umera AhmedDM to Place ord...
28/12/2024

"Mard ko aurat ka nigehbaan banaya hai tahaffuz denay k liye, maar peet k liye nahi."
Kankar - Umera Ahmed

DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

Khuda kisi ko koi cheez haesha k liye nahi deta, jab woh kisi ko koi naimat deta hai tu sirf azmaish k liye, woh chahta ...
28/12/2024

Khuda kisi ko koi cheez haesha k liye nahi deta, jab woh kisi ko koi naimat deta hai tu sirf azmaish k liye, woh chahta hai k hum uss cheez ko hamesha apnay paas rakhnay k liye jiddo jehad karain. Woh chahta hai k hum apnay aap ko is naimat ka ahal saabit karain aur hum aksar apnay aap ko is naimat ka ahal saabit karnay mai nakam hojatay hain.
Zindagi Gulzar Hai - Umera Ahmed

DM to Place order or Whatsapp
0340-0009252

Address

London

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Umera Ahmed Official posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Umera Ahmed Official:

Videos

Share

Our Story

Admins: Umera Ahmed Hasan Umar Misbah Shafique Feedback : [email protected]

This is the only Official Page of the famous author and playwright Umera Ahmed to discuss her fiction and play. Umera Ahmed is an acclaimed best selling author and a famous scriptwriter who have many famous novels and hit serials on her list. Her most famous write up is PireKamil (s.a.w) which is one of the most best selling Urdu books with more than 200,000 copies sold since its first edition.