Saal dikhta nahi par pakka ghar hai
Hawa me jhulta rehta hai
Tarikhon pe paon rakhke
Ghadi pe ghumta rehta hai
Barah mahine aur cheh mausam hai
Ana jana rehta hai
Ek hi kursi hai ghar me
Ek uthta hai ek bethta hai
January February bachpan hi se bhai behen se lagte hai
Thand bahot lagty hai unko
Kapde garm pehente hai
January ka kadd uncha hai kuch
February thodi dabty hai
January baat kare to muh se
Dhuein ki rail nikalty hai
March magar bahar sota hai
Ghabrata hai bangle me
Din bhar chinkta rehta hai
Raatein katty hai nazley me
Lekin ye April May to
Baagh me kya kuch karte hai
Aam aur jamun, shaljam, gobi
Phal kya phool bhi chartey hai
Makkhiyan bhin bhin karty hai aur
Machar bhi badh jate hai
Jugnu poonch pe batti lekar
Pedon pe chadh jatey hai
June bada wehmi hai lekin
Garj suney ghabrata hai
Ghar ke beecho beech khada
Sabko awaz lagata hai
Raincoat aur chatri le lo
Badal aya barish hogi
Bheegna mat gandey pani me
Khujli hogi, kharish hogi
Dost July ladka hai par
Ladkiyo jesa lagta hai
Gul mohar ki chatri lekar
Thumak thumak kar chalta hai
Aur August bada bad mast hai
Chatt pe charhke gata hai
Bheegta rehta hai barish me
Zarney khol nahata hai
Peela ambar pehen September
Poora saadhu lagta hai
Rang birangi urrtey pattey
Patjhar jadu lagta hai
Gussey wala hai October
Ghunna hai ghurrata hai
Kehta kuch hai, karta kuch hai
Pattey noch girata hai
Aur November pankha lekar
Sard hawaein chorta hai
Roothey mausam manwata hai
Tootey pattey jorrta hai
Bara buzurg December akhir
Barf safeid libaas me aaye
Sabke tohfey peeth pe leker
Santaclause ko sath me laye
Barah mahino me baad humesha
Ghar poshakh badalta hai
Number plate badal jaty hai
Saal naya jab lagta hai
-Gulzaar
Aaj jaane ki zid n karo ........