21/04/2024
20 April, 1985
At Kanchan's House;
Kanchan chair pe baithi ek Doll sil rhi hai, tabhi 5 saal ki khushi uski god me aake baith jati hai
Khushi : mumma.. ap ye mere liye bna rhi ho
Kanchan : nhi betu, kal jo ladki ayi thi...
Khushi : Ma... Mann.. Nat...
Kanchan : Han, usi ke liye
tabhi wha ki lights chali jati hai
Khushi darr ke maa se aur chipak jati hai
lights on off hone shuru ho jati aur darwaza khulta hai
Kanchan udhr dekhti hai, aur bolti hai "Ao Mannat, tumhara hi intezaar tha"
MT's Spooky Tales
>
- WITCHCRAFT -
Putulbari, Shobhabazar, Kolkata ;
Ek purani veeran haweli k samne Kanchan aur uske piche Mannat ki aatma khadi hui hain
Kanchan : ao mannat
ye kahker wo usi gudiya ko apne jhole se nikalti hai
Mannat : aap ho kaun? aur apko ye sab kaise pta tha
Kanchan jhole se ek dibbi nikalti hai aur usme se kaale rang ka kuch hai jise wo ungli se lekar apne maathe par bada sa teeka lgati hai
Kanchan : Mai wo dekh sakti hu jo aam log nahi dekh sakte, maine kal hi tumhari maut dekhli thi, jab tum subah mere ghar aayi thi, mai samajh gayi thi, niyati ne kuch soch kar hi tumhe mere paas bheja hai, ab mai tumhari madad karungi, tumhara badla lene me
Mannat : par kaise? mai to... mar chuki hu
Kanchan : tumhe pta hai ye jagah kaunsi hai? yaha tumhari trh aur bhi adhuri khwahisho wali aatmaye hain, jo yha dolls me agyi hai.. mai tumhe bhi ek doll ka sharir dungi
Mannat : par doll bankar mai badla kaise lungi?
Kanchan : Is vidhi me mai is doll ko apne rakt se seechungi, jab tak mai tumhare sath hu, tumhare pas shaktiya hongi, tum chal fir sakogi, bol sakogi, saaya ban sakogi aur bhram paida kar sakogi.. warna uske alava tum bas ek nischit divas hi zinda ho sakogi
Mannat : aap mere liye itna sab kyu kar rahi par
Kanchan hasne lgti hai aur kahti hai, chalo vidhi puri kare..
wo jhole se apna chaku nikal kar apna hatheli me cut lgati hai aur uski boondie doll per dalti hai, fir wo padhna shuru karti hai ;
"Kali shokti ondhokare, anugroho kor,
Osheem shoktir probahe dhuche a*o,
Ei putuler moddhe tomar chetona bosao,
Ondhokarer rajye tomar bishwash ghotao."
[ Translation:
"In the darkness of Kali Shakti, I beseech thee,
Come forth in the boundless flow of power,
Inhabit the consciousness of this doll,
Instill your belief in the kingdom of darkness." ]
Mannat ko kuch ajeeb sa mehsus hone lagta hai, aur dhire dhire use halka mahsus hone lagta hai
Kanchan apna mantra repeat karti rhti hai
aur dekhte hi dekhte mannat khud ko doll ke roop me paati hai
Kanchan : Swagotom Mannat!
Mannat (in doll voice) : Badhiya!
At Evening, Farhan's Mansion ;
Farhan apne swimming pool ke kinare chair pe baitha chai p*e rha hota hai ke tabhi use pool me ek doll behti dikhti hai
Farhan : are.. ye doll kiski hai, aur yaha kaise aayi?
wo khada hota hai aur naukar ko avaz dene wala hota hai ki doll gayab ho jati hai
farhan kuch sochta isse pahle koi use dhakka de deta hai aur wo pool me gir jata hai, farhan hadbadane lagta hai.. tbhi use paani me fir wahi doll dikhti hai
use darr lagne lagta hai, ke tabhi doll uske pas aati hai aur uska sar pkd ke pani ke andr dhakelne lagti hai
farhan use htane ki boht koshish karta hai... par b*h ni pata, doll kahti hai, pehchana mujhe? mai hu mannat, kutru se
itna sunte hi farhan jhatpatana band kardeta hai kyonki wo smjh chuka tha ab kuch nhi ho sakta. aur wo doob kar mar jata h...
Mannat's Narration : main wha se jane wali thi par achanak se mai ruk gyi, mai bol ya hil nhi pa rhi thi, mai smjh gyi, wo lady ab sheher se jaa chuki hain... mai wahi reh gyi... kuch saal ghr ka samaan wese hi pda rha, par kuch saalo baad use wha se shift krdiya gya aur kisi storage me rkhdiya gya, aur fir...
2 December 2002 ;
Storage Auction -
Host : aur ab item number 604... ek nayaab handmade doll
kharidne walo me baithe ek admi se uski 10 sal ki bachi bolti hai "papa, mujhe ye doll chahiye"
papa puchte hain, "kyon shalini beta?"
to shalini kahti hai "papa, agle hafte meri school besti Priyanka ka birthday hai na, mai usko ye gift dungi"
papa kahte hain "acha, theek hai beta, dilata hu".
- Present Time -
6 April, 2024 ;
Priyanka aur Vaishali boht gaur se puri kahani sunti hain
Mannat : To ab apna kaam chalu karu?
To Be Continue-