Imaan TV

Imaan TV IMAAN TV aims to create programs that are in national interest. The look and Programming will be targeted to achieve a “High TRP”.

Our strategy is to make the programming and overall look and feel of the channel appealing and ‘inspirational’. Channel Name - “IMAAN TV”
Profile - Islamic Edutainment TV Channel
Video Format - Sony DV CAM and Apple Non Linear
Duration (1st Phase) - 24X7 with Daily 4 Hours’ Fresh Programs
Starting date - November 2011 (Holy Haj)
Platform

- DG Cable’s Digital Network, Imaan TV’s
website, YouTube and on mobile
network through Jigsee etc. Target Audience - The Indian Muslims & other Believers
Compound Ratio - 75% Studio Based shows, 25% Outdoors
& Events
Channel Theme - Islamic Cultural, Historical & Religious
Programs. Language Hindustani- A Blend of Hindi, with Urdu,
Arabic Persian and Indian Regional
Languages etc
Indoor Programs - Talk Shows, Islamic Quiz, Discussions,
Religious poetry, Speeches, Call-in Shows,
One-on-One Interviews, Social, Health &
Islamic Life Style related Shows, and several
Anchor Based TV Programs. Outdoor Programs - Events, Multi Camera Shows, Fiction etc.

Aamal shab e 19th mahe RamzanCarvan E Hind
10/04/2023

Aamal shab e 19th mahe Ramzan
Carvan E Hind

Condolences to Imam-e-Mehdi a s. on the Shahadat of Imam Hasan Al-Askari (as)
04/10/2022

Condolences to Imam-e-Mehdi a s. on the Shahadat of Imam Hasan Al-Askari (as)

Shahadat e Imam Hasan e Mujtaba a.s.Takiye laga diye the haram ne idhar udhar, Baazu’on ko koi thaamti thi aur koi sar,F...
26/09/2022

Shahadat e Imam Hasan e Mujtaba a.s.

Takiye laga diye the haram ne idhar udhar,
Baazu’on ko koi thaamti thi aur koi sar,
Farmaya tasht lao, Hua zeher kaargar,
Reh reh ke kaat ta hai koi tegh se jigar,
Seene se muh mei tukde kaleje ke aate hain,
Nana bula gaye the,
So duniya se jaate hain.
~ Meer Anees

28 SafarHai Rasool e ZamanHai Imam e HasanHam RASOOL e KHUDA, HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA s.a.w.w. ki Rehlat ke mauqe par Ta...
25/09/2022

28 Safar
Hai Rasool e Zaman
Hai Imam e Hasan

Ham RASOOL e KHUDA, HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA s.a.w.w. ki Rehlat ke mauqe par Tamam Momeneen wa Muslemeen ki khidmat me tasliyat pesh karte hain

Short Biography of HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA s.a.w.w

Name: MUHAMMAD(S.W)
Walid: ABDULLAH(a.s)
Waleda : AMENA BINTE WAHEB(S.A)
Alqab: Ameen , Rasoolullah, Safiullah , Taha , Yasin , Muzzammil , Muddassir,
Kuniyat : Abul qasim
Weladat : 17Rabiul awwal san 1aamul feel
Jaye weladat : makka e mukarrama
Wafat : 28 Safar san 11 hijri
Qabr: Madina munawwara
Azwaj : janab e Khadija (s.a) Sauda, Ayesha ,Hafsa , Zainab binte Khuzaima, Zainab binte Jahesh, Juwairiya, Safiya , Maimoona Umme Habiba, Umme Salma.
Awlad : 1 beti, baqi sari awlad wafat e paighambar se pahle hi kamsini me is dunya se rehlat farma gyiN .
Kul umr: 63 sal

RASOOLULLAH s.a.w.w. ne farmaya :
Har cheez ki eik bunyad hoti hai aur ISLAM ki bunyad AHLEBAIT a.s ki Muhabbat hai.
📚Usool kafi, jild 2, page 45

16/09/2022

Chehlum 2022
यज़ीद-ए-वक़्त की नींदें हराम होती हैं
हुसैन अब भी तिरे इज्तिमा-ए-चेहलुम से
'Mohammad Ibrahim Noori'
Labbaik Yaa Husain a.s.

24/08/2022

Imaan TV's Nauha on the Shahadat of Imam Zainul Abedeen (A.S.)

Please Subscribe the Channel and Like, Share and Forward it to other Momeneen

09/08/2022

Alvida Yaa Husain

Strongest picture of this Ashura. A Hindu Husaini lady heading towards Karbala of her village proudly carrying Tazia on ...
09/08/2022

Strongest picture of this Ashura. A Hindu Husaini lady heading towards Karbala of her village proudly carrying Tazia on her shoulder saying Yaa Husain Yaa Husain.

A non-Muslim lady, Imrta Devi, barefoot in the scorching sun, carrying the tazia of her house with the help of sticks for burial in Hallour Karbala. The reverence they have for their "Imam Saheb Baba" is not a matter of any religion!

O enemies of Husain ibn Ali (A.S.), how will you fight against Husainiyat? Don't you see this magnificence of the power of Husainiyat?

09/08/2022

Sacrifice of Imam Hussain was remembered in Ashura juloos by Shia-Sunni brothers of Bhanmau district Barabanki

7th Muharram 2022
06/08/2022

7th Muharram 2022

02/08/2022

Noha | AYE MOMINON HAI TEESRI TARIKH AZA KI

Recited By | Arhan Khan
Written By | Janab Waiz Sahab
Composition By | Shahab Husain
Video Editing At | Imaan TV Studio

‪‎

AYE MOMINON HAI TEESRI TAREEKH AZA KI
FARYAD KHUDA KI
MAQTAL MIAN SAVARI HAI GHAREEBUL GHURABA KI
FARYAD KHUDA KI

GHODA SHAHE MAZLOOM KA AAGE NAHI BADHTA
KYA JAANE HUA KYA
PAKDE HUE HAI HAI PAAON ZAMEEN KARBOBALA KI
FARYAD KHUDA KI

RAHWAAR KAI RAKIB E DOSH E NABAWI NE
KUCH DER MAIN BADLE
KOSHISH HUI BEKAR MAGAR SHAH E KHUDA KI
FARYAD KHUDA KI

KUCH SOCH KE ISS DAST E PUR-ASHOB KI MITTI
SHABBIR NE SUNGHI
FARMAYA KI AB AAKHRI MANZIN HAI HAMARI
FARYAD KHUDA KI

AKBAR SE KAHA SHAH NE JALDI YAHIN BETA
KHAIMEN KARO BETA
GARMI HAI GHAZAB DHOOP HAI SHIDDAT HAI BALA KI
FARYAD KHUDA KI

ABBAS NE FARMAYA KE DARYA KE KINARE
KHAIMEN HON HAMARE
ISS FASL MAIN HAJAT HAI BAHUT SARD HAWA KI
FARYAD KHUDA KI

USTAD ARZ JAB HUE KHAIMEN LAB E DARYA
UTRE HARAM E SHAH
AUR SHUKR KE SAJDAY MAIN JABIZ SABNE JHUKA DE
FARYAD KHUDA KI

TASHHEER KAMAR KHOL RAHE THE ABHI GHAZI
WHO SARE NAMAZI
AANE LAGIN FAUJEIN SITM O JAUR O JAFA KI
FARYAD KHUDA KI
© All Rights Reserved With Imaan TV

31/07/2022

Noha | YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

Recited By | Arhan Khan
Written By | Janab Waiz Sahab
Composition By | Shahab Husain
Video Editing At | Imaan TV Studio

‪‎

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI
GHAM KI KHATA DILON PE MUHIBBON KE CHAI HAI

AAGE QADAM BADHATA NAHI SHAH KA ZULJANAH
KHUSHBOO ZAMEEN E KARBOBALA KI JO PAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

TABDEEL SAAT GHODE KIYE SHAH NE MAGAR
EIK NE QADAM NA AAGE BADHAYA DUHAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

PHIR TO PALAT KE APNE RAFEEQON SE BOLE SHAH
YAAN NAHAR EIK QUDRAT E HAQ NE BANAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

LOGON NE NAINAWA BHI KAHA GHAZARIYA BHI
KOI NA KOI BAAT HAR EIK NE BATAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

ISS SAR ZAMEEN PE JO BHI NABI AAYA AYE HUSAIN
USNE ZAROOR KOI MUSIBAT UTHAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

FARMAYA JAB HUSAIN NE HAI NAAM KOI AUR
EIK BOLA KARBALA MERE SARKAR AAYI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

JIS DAM SUNA HUSAIN NE HAI KARBALA YAHI
FARMAYA AAJ MANZIL E MAQSOOD PAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

NAAQE BITHAO MAHMILON SE UTREN AHLE BAIT
ASBAAB UTARA JAYE KI MANZIL ABB AAYI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

AADA HAMARE KHOON YAHIN TO BAHAENGE
MAQTAL JISE KAHO WHO ZAMEEN AAJ AAYI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

TAUHEEN HOGI MERE HARAM KI ISI JAGAH
HONGE ASEER AAL E PAYAMBAR DUHAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

SHAH UTRE JAB FARAS SE ANDHI CHALI SIYAAH
MATLAB YEH THA KI GHAM KI GHATA SAR PE CHAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

ISS KAIFIYAT KO DEKH KE ZAINAB NE YEH KAHA
LOGON BULAO JALD KAHAN MERA BHAI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

JIS DAM HUSAIN AAYE TO KHWAHAR NE YEH KAHA
BHAIYA BATAIYE YEH ZAMEEN KAISI AAYI HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

SHAH NE KAHA BAHEN SE KI AB JAAON MAIN KAHAN
MITTI MERE WATAN SE YAHAN KHAINCH LAY HAI

YUN DOOSRI JAHAN MAIN MOHARRAM KI AAYI HAI

WAIZ TERE NASEEB MAIN LIKHKHI HAI MADH E SHAH
HAQ NE TERI ZABAN ISI QABIL BANAI HAI

© All Rights Reserved With Imaan Tv

30/07/2022

Aaj Pehli Hai Maahe Aza Ki | Imaan TV | New Nohay 2022 | 1st Muharram 2022/1444 I ‪‎

Noha | Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki
Recited By | Arhan Khan
Written By | Janab Waiz Sahab
Composition By | Shahab Husain
Video Editing At | Imaan TV Studio

Noha - Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Rooh Aayegi Abb Fatema Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Dhoop Shiddat Ki Gharmi Ka Mausam,
Looh Ka Chalna Qayamat Ki Paiham
Jalti Hai Reg Dasht-e-Bala Ki
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Sath Bachche Bhi Hai Iss Safar Main,
Kiss Tarah Dhoop Se Shah Bachayen
Aas Dil Se Bandhi Hai Khuda KI
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Raasta Hurr Ne Roka Hai Aakar
Shah Ke Bigde Hue Hai Jo Tevar
Tegh Bahar Hai Har Bawafa Ki
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Yeh Sunani Bhi Raste Main Paai
Ho Gaya Qatl Kufe Main Bhai
Elchi Par Bhi Shah Ke Jafa Ki
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Iss Mahine Main Ghar Fatma Ka
Ho Gaya Nazr e Dashte Bala Ka
Sab Kamai Luti Mustafa Ki
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Pyasa Mara Shahe Tashnalab Ko
Gham Rahega Yeh Tahashr Sabko
Kis Qayamat Ki Waiz Jafa Ki
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

Majlis e Gham Hai Shahe Huda Ki,
Aaj Pehli Hai Maah-e-Aza Ki

© All rights reserved with Imaan TV

30/07/2022

Chand Nikla Hai Moharram Ka Azadaron Main
I Imaan TV I New Nohay 2022 I Muharram 2022_1444 I

Noha | Chand Nikla Hai Moharram Ka (Chand Raat)
Recited By | Arhan Khan
Written By | Janab Waiz Sahab
Composition By | Shahab Husain
Video Editing At | Imaan TV Studio

Chand Nikla Hai Moharram Ka Azadaron Main
Matam-e-Shah Hai Bapa Gham Ke Giraftaron Main

Sabz Kapde Koi Pehne Hai Koi Kala Libaas
Inqilaab Aaya Hai Sarwar Ke Azadaron Main

Chehron Par Shiyon Ke Itna Hai Moharram Ka Asar
Log Kehte Hain Ki Yeh Shah Ke Hai Beemaron Main

Chaak Daman Hai Girebaan Hain Tukde Tukde
Misl Diwanon Ke Rote Hain Woh Bazaron Main

Nala-o-Aah Hai Faryad Hai Mehshar Hai Bapa
Wa Husaina Ki Sadayen Hain Azadaron Main

Yeh Tasawwur Se Ki Hain Raah Main Shabbir Abhi
Karbala Aate Hi Ghir Jayengenge Talwaron Main

Us Taraf Honge Shah-e-Deen Ke Hazaron Dushman
Iss Taraf Sirf Bahattar Hain Madadgaron Main

Pani Mangenge Jo Asghar Ke Liye Ran Main Husain
Shoro Girya Ka Bapa Hoga Kamandaron Main

Waiz Mango Yeh Dua Haq Se Ki Shahe Wala
Tujhko Shamil Woh Karen Apne Azadaron Main

© All rights reserved with Imaan TV

Eid e Mobahila Mubarak to you all
24/07/2022

Eid e Mobahila Mubarak to you all

"decoration for the grand celebration of Imam Aliع Shrine For Eid Al-Ghadeer."♥💐
15/07/2022

"decoration for the grand celebration of Imam Aliع Shrine For Eid Al-Ghadeer."♥💐

Ziyarat e Imam Hadi a.s.
15/07/2022

Ziyarat e Imam Hadi a.s.

15 Zilhijja; Roze weladat e IMAM ALI NAQI a.sWeladat e pur noor Hazrate IMAM ALI NAQI a.s IMAM ZAMANA a.t.f Maraje keram...
15/07/2022

15 Zilhijja; Roze weladat e IMAM ALI NAQI a.s

Weladat e pur noor Hazrate IMAM ALI NAQI a.s IMAM ZAMANA a.t.f Maraje keram , awr tmam momeneen o momenat ki khidmat me Mubarak ho.

Short Biography of IMAM ALI NAQI a.s

Name: ALI
Walid: IMAM MUHAMMAD TAQI (a.s)
Waleda : Samana maghrebia ,
Alqab: NAQI , HADI, ASKARI
Kuniyat : abul hasan salis
Weladat : 5 rajab 212 hijri ya 15Zilhijj 212 hijri
Jaye weladat : (Sariya ) madina munawwara
Shahadat : 3 Rajab 254 hijri
Qabr: Samrrah ( IRAQ)
Zauja : Sausan ya saleel ( madare imam askari (a.s)
Awlad : 4 bete 1 beti
Qatil: Motamid abbasi (L.A)
Kul umr: 42 sal
Muddate imamat: 34 sal

IMAM ALI NAQI a.s ne Farmaya:
jo ulama hamre kamzor shioyN ki madad krte haiN wo maidane qayamat me ayenge to unke sar pr taj hoga jis se noor ki kirne nikal rahi hongi.

📚beharul anwar , jild 2, page 6

IMAM ALI NAQI a.s ne Farmaya:
Zameen par kuch aisi jagheN haiN jahaN khuda chahta hai ki koyi us maqam par us se dua kare to khuda us ko qubool farmaye , qabre IMAM HUSAIN(a.s) unhi jaghoN me se aik hai .

📚Tuhaful uqool page 482

Eid mubarak every one! May Allah bless each one of us by right of Prophet Muhammad p.b.u.h. and Imam Ali a.s. & may all ...
10/07/2022

Eid mubarak every one! May Allah bless each one of us by right of Prophet Muhammad p.b.u.h. and Imam Ali a.s. & may all of you including me become reason of peace for our beloved Imam Mahdi a.t.f.
Ameen!

Eid ul Azha Mubarak to you and your family!!!
09/07/2022

Eid ul Azha Mubarak to you and your family!!!

Condolences on Martyrdom of Hazrat Muslim bin Aqeel who was the first martyr to fall defending Imam Hussain(as)in his mi...
08/07/2022

Condolences on Martyrdom of Hazrat Muslim bin Aqeel who was the first martyr to fall defending Imam Hussain(as)in his mission and he was the ambassador that the Imam(as) appointed to go the people of Kufa to respond to their letters of promised support.

Imaan Tv sending Heartfelt condolences to Imam e Asr a.t.f.and all the lovers of ahlulbyt a.s. on the martyrdom annivers...
07/07/2022

Imaan Tv sending Heartfelt condolences to Imam e Asr a.t.f.and all the lovers of ahlulbyt a.s. on the martyrdom anniversary of 6th light of guidance Imam Muhammad Baqir a.s.

Shahadat e Hazrat IMAM JAFAR SADIQ a.sHam IMAM a.s ki Shahadat ke Dardnak mauqe par IMAM E ZAMANA (a.t.f) aur tamam muhi...
26/05/2022

Shahadat e Hazrat IMAM JAFAR SADIQ a.s

Ham IMAM a.s ki Shahadat ke Dardnak mauqe par IMAM E ZAMANA (a.t.f) aur tamam muhibban e Ahlebait (a.s) ki khidmat me taziyat pesh karte haiN.
…………………………………….
Short biography of IMAM SADIQ a.s
Name: JAFAR
Walid: IMAM MUHAMMAD BAQIR(a.s)
Waleda : UMME FARWA binte Qasim ibne Muhammad bin abu bakr
Alqab: Sadiq, Sabir, Tahir, Fazil
Kuniyat : abu abdillah
Weladat : 17 rabiul awwal 83 hijri
Jaye weladat : madina munawwara
Shahadat : 25 Shawwal 148 hijri
Qabr: JANNAT-UL-BAQI baqi (madina munawwara)
Azwaj : Hameeda , fatema
Awlad : 7 bete 3 betiyaN
Qatil: mansoor dawaniqi ne zahr dilwaya .
Kul umr: 65 sal
Muddate imamat: 34 sal

Note:
Sheikh Mufeed (r.a) ne apni kitab al-irshad me IMAM JAFAR SADIQ (a.s) ki Shahadat ki tarikh 15 rajab likhi hai jabki allama Tabarsi(r.a) ne apni kitab Tajul mawaleed me 25 Shawal 148 hijri tahrir kiya hai.

IMAM JAFAR SADIQ a.s ne Farmaya:
3 chizeN momin ki pahchan haiN.
khuda ki marefat
khuda ke dostoN ki pahchan aur khuda ke dushmano ki pahchan 📚usool e kafi , jild 3 page 192

IMAM JAFAR SADIQ (a.s) ne Farmaya:
Hamare shia aapas me aik dosre ke sath
mehrban hote haiN aur tanhayi me Khuda ko yad karte hain. 📚Usool e kafi, jild 3,page 268

IMAM JAFAR SADIQ (a.s) ne Farmaya:
Jab zamana Zulm o jaur se bhara ho aur zamane wale dhoke baz hoN to har aik par bharosa karna aajezi o bechargi hai. 📚Tohaful Uqool , page 357

Bar Dushmanane Ahlebait Lanat
Bar qatelane Ahlebait Lanat
Bar Mansoor dawaniqi Lanat

JUMA MUBARAK!!! IMAM JAFAR SADIQ (a.s)ne farmaya: khuda ke nazdik sab se pasandida sadqa ye hai ki do jhagde huwe logon ...
20/05/2022

JUMA MUBARAK!!!

IMAM JAFAR SADIQ (a.s)ne farmaya:
khuda ke nazdik sab se pasandida sadqa ye hai ki do jhagde huwe logon me sulh kara do aur jin logon ke darmiyan dooriyan badh gayi hon unko mila do .
📚Usoole kaafi, jild 2, page 209

🌺इमाम जाफ़र सादिक़ अ.स ने फ़रमाया:
ख़ुदा के नज़दीक सब से पसन्दीदा सदक़ा ये है कि दो झगड़े हुए लोगों में सुलह करा दो और जिन लोगों के दरमियान दूरियां बढ़ गयी हों उनको मिला दो .
📚उसूले काफ़ी, जिल्द २, पेज २०९

🌺IMAM JAFAR SADIQ (a.s) said:
The most pleasing charity in the sight of ALLAH is to reconcile two quarrelsome people, and to reconcile those whose distances have increased.
📚Usoole kaafi, vol 2, page 209

Eid ul Fitr Mubarak to everyone!!!
03/05/2022

Eid ul Fitr Mubarak to everyone!!!

Address


Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Imaan TV posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Business

Send a message to Imaan TV:

Videos

Shortcuts

  • Address
  • Telephone
  • Alerts
  • Contact The Business
  • Videos
  • Claim ownership or report listing
  • Want your business to be the top-listed Media Company?

Share