Sarkar 17 Yakub Group Official

Sarkar 17 Yakub Group Official Sarkar 17 Yakub Group Official

👑Aalam E Islam Ko Sarkar 17 Yakub Group Official ki aur Se Eid Ul Adha Mubarak Bohat Bohat Mubarak Ho 💐🥰
17/06/2024

👑Aalam E Islam Ko Sarkar 17 Yakub Group Official ki aur Se Eid Ul Adha Mubarak Bohat Bohat Mubarak Ho 💐🥰

Assalamulaykum!Aalam E Islam Ko "Aastaana-e-Aaliya Sarkar 17 Yakub Shahid Aur Khankah-e-Ashrafiya Miraniya Kapadwanj" Ki...
11/04/2024

Assalamulaykum!

Aalam E Islam Ko "Aastaana-e-Aaliya Sarkar 17 Yakub Shahid Aur Khankah-e-Ashrafiya Miraniya Kapadwanj" Ki Janib Se
Eid Ul Fitr Bohot Bohot Mubarak!!

Tamam Log Apne Gharon Me Rah Kar Hi Namaz Adaa Karen Aur Tamam Ummate Muhammadiya ﷺ Ke Liye Dua Karen.

Allah Huzur E Paak Aur Gaus O Khwaja O Makhdum Ashraf O Shah-e-Miran Aur 17 Yakub Shahid Ke Sadqe Tufail Hamari Tamam Ibaadaton Ko Qubul Farmaye Aur Tamaam Aafaton Aur Bimariyon Se Hamari Hifazat Farmaye.. Ameen

Follow Us
https://www.facebook.com/Sarkar17 Yakub shahid-R.A

👑Aalam E Islam Ko Eid Ka Chand Mubarak Ho💐😭
10/04/2024

👑Aalam E Islam Ko Eid Ka Chand Mubarak Ho💐😭

Shab-e-Qadr ki Ahmiyat isliye hai ke us Raat Quran ka nuzool hua. Lekin Sahib-e-Quran SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sal...
06/04/2024

Shab-e-Qadr ki Ahmiyat isliye hai ke us Raat Quran ka nuzool hua. Lekin Sahib-e-Quran SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke agar Hidayat chahte ho to 2 ka Daman hamesha thaame rakhna hoga, ek ka daman bhi choot jaaye to gumrah hojaoge, ek hai Quran, dusri hai Ahle Bayt. Ye Sahih Muslim ki Hadees hai. Lihaza aaj jahan Quran ki bharpur tilawat karo wahi Ahle Bayt ka bhi Zikr karo.

Ummul Momineen Sayyeda Umme Salma RadiAllahu Ta'ala Anha farmati hain ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna:

"Ali aur Quran ka choli daaman ka saath hai. Ye Dono kabhi bhi juda nahi honge yahan tak ke Mere paas Hauz-e-Kausar par (ikatthe) aaenge!"

Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam.

Tabrani, Mujam al Awsat
Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali ibne Abi Talib Alaihi-Mussalam: Dr. Tahir-ul-Qadri

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

❤️𝟐𝟏 𝐑𝐚𝐦𝐳𝐚𝐧 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐛𝐚𝐫𝐚𝐤 𝐘𝐨𝐮𝐦 𝐄 𝐒𝐡𝐚𝐡𝐚𝐝𝐚𝐭😭𝐀𝐦𝐞𝐞𝐫 𝐔𝐥 𝐌𝐨'𝐦𝐢𝐧𝐞𝐞𝐧 𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐭𝐭𝐚𝐤𝐢 𝐀𝐛𝐮𝐥 𝐀𝐲𝐦𝐚𝐡 𝐁𝐚𝐛 𝐀𝐥-𝐌𝐚𝐝𝐢𝐧𝐚𝐭 𝐀𝐥-𝐔𝐥𝐨𝐨𝐦 𝐌𝐨𝐮𝐥𝐚 𝐄 𝐊𝐚𝐢...
31/03/2024

❤️𝟐𝟏 𝐑𝐚𝐦𝐳𝐚𝐧 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐛𝐚𝐫𝐚𝐤 𝐘𝐨𝐮𝐦 𝐄 𝐒𝐡𝐚𝐡𝐚𝐝𝐚𝐭😭

𝐀𝐦𝐞𝐞𝐫 𝐔𝐥 𝐌𝐨'𝐦𝐢𝐧𝐞𝐞𝐧 𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐭𝐭𝐚𝐤𝐢 𝐀𝐛𝐮𝐥 𝐀𝐲𝐦𝐚𝐡 𝐁𝐚𝐛 𝐀𝐥-𝐌𝐚𝐝𝐢𝐧𝐚𝐭 𝐀𝐥-𝐔𝐥𝐨𝐨𝐦 𝐌𝐨𝐮𝐥𝐚 𝐄 𝐊𝐚𝐢𝐧𝐚𝐭 𝐀𝐬𝐚𝐝𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥-𝐆𝐡𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐆𝐡𝐚𝐥𝐢𝐛-𝐄-𝐐𝐮𝐥𝐥𝐞 𝐆𝐡𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥-𝐌𝐚𝐬𝐡𝐚𝐫𝐢𝐪 𝐖𝐚𝐥-𝐌𝐚𝐠𝐡𝐚𝐫𝐢𝐛 𝐀𝐥-𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥𝐢 𝐈𝐛𝐧𝐞 𝐀𝐛𝐢 𝐓𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐊𝐚𝐫𝐫𝐚𝐦 𝐀𝐥𝐥𝐚𝐡𝐮 𝐓𝐚'𝐚𝐥𝐚 𝐖𝐚𝐣𝐡𝐚𝐮𝐥 𝐊𝐚𝐫𝐢𝐦 👑 🌏🕋

𝟒𝐭𝐡 𝐂𝐚𝐥𝐢𝐩𝐡 𝐨𝐟 𝐭𝐡𝐞 𝐑𝐚𝐬𝐡𝐢𝐝𝐮𝐧 𝐂𝐚𝐥𝐢𝐩𝐡𝐚𝐭𝐞
◾𝐍𝐚𝐦𝐞𝐬 :- 𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐥𝐢 𝐈𝐛𝐧𝐞 𝐀𝐛𝐢 𝐓̣𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢𝐦 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦
◾𝐓𝐫𝐢𝐛𝐞:- 𝐐𝐮𝐫𝐚𝐢𝐬𝐡 (𝐁𝐚𝐧𝐮 𝐇𝐚𝐬𝐡𝐢𝐦)
◾𝐅𝐚𝐭𝐡𝐞𝐫:- 𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐛𝐮 𝐓𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐢𝐛𝐧𝐞 𝐀𝐛𝐝𝐮𝐥 𝐌𝐮𝐭𝐭𝐚𝐥𝐢𝐛 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢𝐦 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦
◾𝐌𝐨𝐭𝐡𝐞𝐫:- 𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐚 𝐅𝐚𝐭𝐢𝐦𝐚 𝐁𝐢𝐧𝐭 𝐀𝐬𝐚𝐝 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐚
◾𝐁𝐨𝐫𝐧:- 𝟏𝟑 𝐑𝐚𝐣𝐚𝐛 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐫𝐚𝐣𝐣𝐚𝐛 𝐌𝐞𝐜𝐜𝐚, 𝐇𝐞𝐣𝐚𝐳, 𝐀𝐫𝐚𝐛𝐢𝐚
◾𝐃𝐞𝐚𝐝:- 𝟐𝟏 𝐑𝐚𝐦𝐚𝐝𝐚𝐧 𝐀𝐥-𝐌𝐮𝐛𝐚𝐫𝐚𝐤 𝐊𝐮𝐟𝐚, ◾𝐌𝐨𝐬𝐪𝐮𝐞:- 𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥𝐢, 𝐍𝐚𝐣𝐚𝐟 𝐀𝐥-𝐀𝐬𝐡𝐫𝐚𝐟, 𝐈𝐫𝐚𝐪 ◾𝐖𝐢𝐟𝐞:- 𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐚 𝐅𝐚𝐭𝐢𝐦𝐚𝐡 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐚
◾𝐃𝐞𝐬𝐜𝐞𝐧𝐝𝐚𝐧𝐭𝐬 𝐨𝐟 𝐈𝐦𝐚𝐦 𝐀𝐥𝐢 :-
▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐥-𝐇𝐚𝐬𝐬𝐚𝐧 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐥-𝐇𝐮𝐬𝐬𝐚𝐢𝐧 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐚 𝐙𝐚𝐢𝐧𝐚𝐛 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐚 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐚 𝐔𝐦𝐦 𝐊𝐮𝐥𝐭𝐡𝐮𝐦 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐚
▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐌𝐮𝐡𝐬𝐢𝐧 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐌𝐮𝐡𝐚𝐦𝐦𝐚𝐝 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐛𝐛𝐚𝐬 𝐀𝐥𝐚𝐦𝐛𝐚𝐫𝐝𝐚𝐫 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦
▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐚 𝐑𝐮𝐪𝐚𝐲𝐲𝐚 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐚 ▪️𝐒𝐚𝐲𝐲𝐞𝐝𝐧𝐚 𝐀𝐛𝐝𝐮𝐥𝐥𝐚𝐡 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐡𝐢 𝐒𝐚𝐥𝐚𝐦

15 Ramzan Youm-e-Wiladat (Birthday) Shabeeh-e-Mustafa, Rehan-e-Mustafa (Huzoor ke Phool), Noor-e-Nazar-e-Zahra o Murtaza...
25/03/2024

15 Ramzan Youm-e-Wiladat (Birthday) Shabeeh-e-Mustafa, Rehan-e-Mustafa (Huzoor ke Phool), Noor-e-Nazar-e-Zahra o Murtaza, Sayyada Shabab-e-Ahlil Jannah, Panchwe Khalifa-e-Raashid, Amir al Momineen Abu Muhammad Hazrat Sayyeduna Imam Hasan al-Mujtaba RadiAllahu Anhu Alaihiswalatu was-Salam!!

Aapki Wiladat ke baad Aapke Mubarak Kaano me Sarkar-e-Do Aalam SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Azaan di, Aapka Naam bhi Huzoor ne rakha, Aapka Aqeeqa bhi Huzoor ne kiya.
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Aap Alaihissalam aur Aapke Bhai Sayyeduna Imam Hussain Alaihissalam se itni Muhabbat thi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kabhi bhi ek baar bhi Hasanain Kareemain ko "Nawase" kehkar nahi pukara, Jab bhi Hasanain Kareemain ko mention farmaya to "MERE BETE" kaha!!
Aur Muhabbat ka aalam ye bhi tha Haalat-e-Namaz me bhi agar Shahzadgan Aaqa ki Pusht Mubarak pe chad jaayen to Aaqa Apna Sajda taweel karelete ke kahi Sar-e-Aqdas uthane se Hasanain Kareemain ko taklif na ho.
Apne in 2 Pyare Beto ko hamesha kareeb rakhte aur hamesha unhe sughte aur farmate Ye Dono he to Mere Gulshan-e-Duniya ke Phool hain.
Kahi jana ho to Dono Shahzadon ko Apne Mubarak Kandho pe sawaar kar lejaate, raste me kisine Shahzado se kaha "Bacho kitni Achi Sawaari hai" to iske jawab me Aaqa farmate "Sawari ki taarif karnewaale, ye bhi dekho Sawaar kitne ache hain!!!"

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne in Dono Phoolon ke baare me Hukman farmaya " Jo Mujhse Muhabbat karta hai us par In Dono se Muhabbat karna Waajib hai."

Aswalatu was Salamu Alaika Ya Hasanain Kareemain, Aapki Azmat pe saari Kainat Qurban jaaye!!

Imam Hasan Alaihissalam ki Wiladat-e-Ba'Saadat sabko bahot bahot mubarak ho!

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Ashabihi wa Baarak wa Sallam

10 Ramzan Yaum E Wisal E Umm Ul Mominin, Joza E Rasool, Madar E Batool, Nani E Hasnain Karimain, Sayyidah Tahira Aabida ...
20/03/2024

10 Ramzan Yaum E Wisal E Umm Ul Mominin, Joza E Rasool, Madar E Batool, Nani E Hasnain Karimain, Sayyidah Tahira Aabida Pakiza Zahida Khadijat Al Qubraسلام اللہ علیہا

Aap ki wilaadat 555 A.D. me hui.

Aap ke waalid ka naam Khuwailid ibn Asad aur waalida ka naam Faatimah bint Za'idah hai.

Aap ke waalid Banu Quraish se ta’alluq rakhte hain.

Aap ne bachpan se hi kabhi but parasti nahi ki.

575 A.D. me aap ki waalida ka inteqaal hua.

****************
Aap ka pehla Nikaah Abu Haalah Malik bin Nabash al-Tameemi ke saath hua jis se aap ko 2 bete hue : Haalah aur Hind; aur us ke baad dusra nikaah Ateeq bin Ais bin Abdullāh al-Makhzumi ke saath hua jis se aap ko 2 aulaade hui : 1 beta Abdullāh aur 1 beti Hind.

****************
585 A.D. me Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap ne apne waalid ka kaarobaar samhala.

Aap Quraish ki ba-wqaar aur mumtaaz khaatoon thi.
Aap ki sharaafat aur paak daamani ki wajah se Ahle Quraish aap ko ‘Taahira’ ke laqab se pukaarte the.

Aap bahot sakhi thi. Aur ghareebo aur mohtaajo ko aur rishtedaaro ko madad karti thi.

Ek baar Aap ne apne makaan ke baala-khaane par se dekha ke Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam guzar rahe the aur Huzoor ke sar par ek baadal saaya kar raha tha aur un ke saath chal raha tha.

Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko apni sachai aur amaanatdaari se ‘Saadiq’ aur ‘Ameen’ ke alqaab mile the.

Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko apni bakriyo ki nigraani ke liye rakha. Aap ne dekha ke bakriyo me barkat hone lagi aur wo doodh bhi zyada dene lagi.

Phir Hazrate Khadeeja ne tijaarat ke liye Shaam ki taraf ek qaafila bheja to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko us qaafile ke zimmedaar aur mukhtaar banaqkar bheja. Aap ne apne khaadim Maysarah ko aap ke saath rehne ke liye kaha.
Jab qaafila Makka waapis aaya to Maysarah ne aap ko dauraan e safar ki chand khaas baaten bataai. Us ne bataaya ke ‘Safar ke dauraan aap ke upar ek baadal saaya karta tha jo har waqt aap ke saath rehta tha.
Aur ek maqaam par ek girija ke Paadri Nestora ne Maysarah ko bulakar puchha ke ‘Us darakht ke neeche jo shakhs baitha hai wo kaun hai?’ Maysarah ne bataaya ke ‘Wo hamara saathi Muhammad ibn Abdullāh hai. Magar aap us ke baare me kyun puchh rahe hain?’ To us ne kaha ‘Is darakht ke neeche Hazrate Eisā alaihis salaam baitha karte the. Un ke baad aaj tak koi shakhs is darakht ke neeche baitha nahi hai. Aaj taweel arse ke baad is shakhs ko maine is darakht ke neeche baitha hua dekha hai. Mumkin hai ke ye nabi ho.’ Nestora ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ta’azeem wa takreem ki.
Phir ek maqaam par ek darakht ke neeche qaafile ne wuqoof kiya to waha paani na hone ki wajah se kaafile ko pareshaani hui to Maysarah ne aap ko arz kiya. Aap ne dua ki to ghaib se aawaaz aai ke thoda door chaah khodo. Aap ne waisa hi kiya to paani nikla jo saaf aur meetha tha.
Phir aage safar me raaste me kai beemaar oont pade hue mile jin ke badan me keede pad gaye the. Aap ko raham aaya aur aap ne apna daste mubarak un phera to wo sahi tandurast ho gaye.
Phir mulk e Shaam pahunchkar tijaarat ka maal bechkar bahot munaafa haasil kiya aur waha se maal kharidkar Makka waapas pahunche aur munaafa e tijaarat Hazrate Khadeeja ko diya.

Ye sab baaten sunkar Hazrate Khadeeja bahot khush hui.

******************
Aap bahot nek aur paarsa aurat thi.
Aap ke Husn o Jamaal aur Aql o kamaal aur maal ki wajah se Quraish ke bade bade sardaar aap se nikaah karna chaahte the. Magar aap ne inkaar kiya.

Ek baar Aap ne khwaab me dekha ke aasmaan se sooraj neeche utarkar aaya hai aur un ka ghar roshan ho gaya hai. Aap ne ye sab apne chachazaad bhai Waraqa bin Nawfal ko bataaya to unho ne kaha ke ‘Ye bahot achha khwaab hai aur ye is baat ki nishaani hai ke ek aisa shakhs tumhari zindagi me aane waala hai jis ke noor se tumhari zindagi roshan hogi.’

Is ke baad aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki phuphi Safiya (jo Aap ke bhai Awwaam bin Khuwailid ki biwi thi) se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Husn e akhlaaq aur kirdaar ke baare me majeed ma’aloomaat haasil ki.

Phir Aap ne apni saheli Nafisa binte Umayya ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko nikaah ke liye paigaam bheja.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Abu Taalib se aur khaandaan ke dusre buzurgo se mashwara kiya.

595 A.D. me Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam 4 miskaal sona maher ke ewaz me Aap se nikaah kiya. Khutba e Nikaah Abu Taalib bin Abdul Muttalib ne padha. Hazrate Khadeeja ki taraf se aap ke chacha Amr ibn Asad ‘Wali’ bane.
Is nikaah ke mauqe par Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki taraf se aap ke chacha Hazarte Hamza, Abbaas aur Abu Taalib, aap ke dost Hazrate Abu Bakr, Hazrate Haleema Saadia aur Hazrate Khadeeja ki taraf se aap ke chacha Amr ibn Asad, aap ke bhai Amr bin Khuwailid, Waraqah ibn Nawfil, bhatije Hakeem ibn Hizaam aur chand aurten saamil hue.
Us waqt Aap ki umr 40 saal aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki umr 25 saal thi.

*******************
Aap Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki pehli Zauja e mohtarama hain.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aap se bahot mohabbat karte the.
Aap ki hayaat me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne kisi dusri aurat se nikaah nahi kiya.

*******************
Aap ne apni tamaam milkiyat Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko de di. Aur un ki marzi ke mutaabiq maal ko khairaat karte rahe.

Ek martaba Hazrate Haleema Saadia radiy-Allāhu anha Makka shareef tashreef laai aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar qahetsaali aur maveshiyo ke halaak hone ki shikaayat ki.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Khadeeja سلام اللہ علیہا ko ye baat bataai to Aap ne Hazrate Haleema Saadia ko 40 bakriya aur ek oont batore hadiya pesh kiye.

*******************
610 A.D. me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko Ghaar e Hira me ibaadat e ilāhi me masroof the tab Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne hukm e ilāhi se Wahi lekar waha tashreef laaye aur aap ko padhne ke liye farmaaya aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Main nahi padhoga.’ Tab Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne un ko pakadkar apne seene se lagaakar dabaaya tab aap ko paseena hone laga. Phir Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne aap ko Surah al-Alaq ki 5 aayaten sikhaai.
Surah al-Alaq, Aayat 1 se 5 :
‘Apne Rab ke naam se padho jis ne (har cheez ko) paida farmaaya. Us ne insaan ko (shikame maadar me) junk kitarah moallaq wajood se paida farmaaya. Padho aur aap ka Rab bada hi kareem hai. Jis ne qalam ke zariye ilm sikhaaya. Jis ne insaan ko wo sikha diya jo wo nahi jaanta tha.’

Is ke baad jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kaanpte hue apne ghar tashreef laaye aur Hazrate Khadeeja ko lihaaf (chaadar) odhaane ke liye kaha.
Phir jab Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se tamaam ahwaal suna to aap ne tasalli di ke ‘Aap Rab ta'ala ke nek bande hai. ALLĀH aap ki hifaazat farmaega.’
Phir Aap ne apne chachazaad bhai Waraqah bin Nawfil ko tamaam baaten batai. Waraqah bin Nawfil Taurāt aur Injeel ke aalim the. Unho ne bataaya ke ‘Ye wo hi farishta hai jo Hazrate Moosā alaihis salaam ke paas aaya tha. Kaash main Hazrate Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam ki nabuwwat ka zamaana paata to un par eimaan laata.’
Is ke chand roz baad Waraqah bin Nawfil ka inteqaal hua.

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jab chaadar odhkar baithe the tab Hazrate Jibr'eel alaihis salaam phir se wahi lekar aaye.
Surah al-Muddassir, Aayat 1 se 3 :
‘Aye chaadar odhne waale (nabi). Utho aur (logo ko ALLĀH ka) dar sunaao. Aur apne Rab ki badaai (aur azamat) bayaan farmao.’

Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne posheeda taur par logo ko Islaam ki daawat dena shuru kiya.

Aap ne (aurto me) sab se pehle Islaam apnaaya. Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath namaaz padhna aur ibaadat karna shuru kiya.

Ahle Makka ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko takleef dena shuru kiya tab Aap har haal me saath rahe aur hosla dete rahe.

*******************
Ek martaba Hazrate Khadeejatul Kubra سلام اللہ علیہا ne Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam se arz ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Jab Hazrate Jibr'eel alaihis salaam Aap ki khidmat me haazir ho to mujhe bhi dikhaiyega.’
Chunaanche Jab Jibr'eel alaihis salaam aaye to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Khadeeja! Ye Jibr'eel hain, idhar aaiye aur mere daanyi raan ke qareeb baith kar dekh lijiye.’
Aap ne waisa hi kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft farmaya ‘Kya tum Jibr'eel ko dekh rahi ho?’Arz kiya ‘Haan, Maine dekha.’ Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Ab baanyi taraf aakar dekho.’ Aap ne kaha ‘Maine dekha.’ Phir saamne ki taraf se dikhaaya. Aap ne kaha ‘Maine dekh liya.’
Phir Aap ne farmaaya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Waaqai ye Jibr'eel hain, Shaitaan aisi soorat ikhtiyaar nahi kar sakta.’

Ek martaba Hazrate Jibr'eel alaihis salaam baargahe Risaalat ma’ab sallallāhu alaihi wa sallam me haazir hue aur arz kiya ‘ALLĀH ta’ala ne Hazrate Khadeejatul Kubra ko salaam bheja hai. Lihaaza main salaam pahunchane ke liye Sidratul muntaha se aap ki baargaah me aaya hu.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se Hazrate Jibr'eel alaihis salaam Aap ki khidmat me salaam pesh kiya karte aur Aap jawaaban farmaati ‘ALLĀH ta'ala Salaam hai aur ye salaam usi ki taraf se hai, Meri taraf se bhi Jibr'eel ko salaam ho.’

*******************
Shab e Me'araaj me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Jannat ki sair farma rahe thee to us me ek azeem-tareen mahel dekha jo hadde nazar tak wasee o kushada tha, Us me aisi ashya rakhi hui thi jo na kisi aankh ne dekhi na kisi kaano ne suni aur na hi koi insaan apne dil me un ka tasawwur bhi kar sakta hai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft farmaaya ‘Ye kis ka mahel Hai?’ Aawaaz aai ‘Hazrate Khdeejatul Kubra ka.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Unhe hadiya e tareek pesh karta hu ke ALLĀH ta'ala ne maal e dunya (ko khairaat karne) ke badle Jannat me kitna bada mahel ataa farmaaya.’

***************
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai
‘(Jis tarah) Apne zamaane ki behtareen aurat Maryam hain aur apne zamaane ki behtareen aurat Khadeeja hain.’

***************
Aap ke 2 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Qaasim, (2) Abdullāh.

Saahabzaadiya :
(1) Zainab, (2) Ruqayya, (3) Umm Kulṡoom, (4) Faatima Zahra.

♦ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se nikaah ke baad Aap ke bete Hind bin Abi Haalah aur beti Hind binte Ateeq bhi Aap ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke ghar me rahe.
Hazrate Hind bin Abi Haalah radiy-Allāhu ta’ala anhu mash'hoor sahaabi e Rasool me se hain.

♦ In ke ilaawa Aap ke ghar me 2 dusre bacho ki bhi parwarish hui : Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Hazrate Zaid ibn Haariṡa.

Aaj Ummul Momineen hazrat e Khatijatul Kubra سلام اللہ علیہا Anha ke wisaal ki khaas shab hai.
Aap ka Nikah SARKAAR sallallahu alaihi wasallam se 40 saal ki umr mein huwa jabke HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ki Umr shareef us waqt 25 saal ki thi.
Is se pehle aapke do nikah ho chuke the.
Aap SARKAAR sallallahu alaihi wasallam ke nikah mein 25 saal rahin.
Aapki hayaat mein SARKAAR sallallahu alaihi wasallam ne doosra nikah na farmaya.
Aapko ye aijaz bhi haasil hai ke aapko RAB tabaarak wa ta'ala ne Jibraeel e Ameen ke zariye salaam kaha.
Aap se deen e Islam ko bepanaah taqwiyat mili.
Aap ne Aurton mein sab se pehle Imaan qubool kiya..

👉 Sayyidah Khadijat Al Qubra ع Ka Zikr Aapke Wisal Ke Ba’ad Bhi Barha Kiya Jata Tha :

"Sayyidah Ayesha Siddiqa سلام اللہ علیہا Farmati hai ke Main Nabi e Kareem صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki Azwaj e Mutaherat علیہم السلام par mai Kisi par Itna Rashq Nahi karti Jitna Sayyidah Khadija ع pe Halanke Wo Mere Nikah se Pehle hi Intekal farma gayi thi lekin Mai Aap ع ko Inka Zikr Farmate Huye Sunti Thi.

"Hazrat Ayesha Siddiqa سلام اللہ علیہا farmati Hai ke Hayat E Zahiri ke Aakhri Ayam Mai Huzoor علیہ السلام Inka Zikr Es Kasrat se Farmaya Karte Barha Aisa Hota ke Main Rashk E Aamez Jazbat ki Shiddat se Maglub Ho Jati aur Ba’az Aukat Itna Zikr Hota ke Usse Mazbur Hoke Gila Karne lagti Aur Baad Mai Mujhe iska Dukh Bhi Hota.

👉 Khadija سلام اللہ علیہا Ke Alawa Aur Koyi Khatoon Hai Hi Nahi :-

"Hazrat Ayesha Siddiqa رضی اللہ عنہ Farmati Hai Ke Ek Dafah Risalat E Ma’ab صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم Apni Mazi ki Biti Huyi Baatonko Yaad kar Rahe Hai the ke, Aur Hazrat E Khadija سلام اللہ علیہا ka Zikr is Kasrat se Darmiyan Mai Aaya ke Ba’az Awkat Mai Huzoor ع Ki Khidmat Mai Arz Kardeti Ke Duniya Mai Khadija سلام اللہ علیہا Ke Siwa Koi Aurat Hai Hi Nahi

👉 Sha’ab E Abu Talib علیہ السلام :-

"Ye Wo Jagah he Jaha Huzoor Sarwar E Qaunain صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم Ne Apne Chacha Huzoor Sayyiduna Abu Talib علیہ سلام, Apni Zoja Sayyidah Khadijat Al Qubra سلام اللہ علیہا Aur Apne Bhai Sayyiduna Maula Ali علیہ السلام Aur Khanwad علیہم السلام Ke Digar Afrad ke Saath 3 Saal Guzare. Us Ghati Mai Jo Ek Tarah ka Qaid Khana Tha. Ye ek Ghati He Macca se Door Jaha Par Sarkar E Do Aalam صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم Ne 3 Saal Na Qabile Bayan aur Bohot Taklif ke Saath Basar kiye. 3 Saal Baad Jab Ye Mamla Khatam Hua To Bimari Aur Zayifi ke Aalam Mai Sayyidah Khadijat Al Qubra Ka Wisal Ho Gaya. Aap صلی اللہ علیہ و آلہ و سلم Abhi Us Gham se Ubhre Bhi na the Aur Ye Saal Khatam Bhi Nahi Hua Tha ke Aap ع ke Chacha Sayyiduna Abu Talib علیہ السلام ka Bhi Wisal Hogaya. Es Dohre Sadme ke Bina Par Jo Huzoor ki Ek hi Saal Mai Uthana Padha. Es Wajah se is Saal ki ” Aam Ul Hujn ”Yani Gham Ka Saal Kaha Jata Hai.

📚 Kitab:- Sirat E Sayyidah Khadijat Al Qubra سلام اللہ علیہ Safah :- 31, 32, 42 43

**************
Aap ka wisaal 10 Ramazaan 10 Nabawi (619 A.D.) ko 65 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka mukarrama hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ummul Mo’mineen Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Chatti Sharif MubarakSarkar Khawaja Garib Nawaz Hazrat Saiyed Khawaja Moinuddin Hasan Chisty Sanjari Ajmeri (Radiyallahu...
16/03/2024

Chatti Sharif Mubarak

Sarkar Khawaja Garib Nawaz Hazrat Saiyed Khawaja Moinuddin Hasan Chisty Sanjari Ajmeri (Radiyallahu Anho)

Ilaahi ba'haq e Bani Fatima,
Ke Bar koul e Imaa'n kuni khatima...

Agar dao'atam rad kuni war qubool,
Mann'o dast'o damaan e Aal'e Rasool ...

~ Shaykh Saadi

👑3 Ramzan Urs E Sarkar Syeda Maa Fatemah Zahrah Salamullah Alaiha Ka Urs Sharif Bohat Bohat Mubarak ho 👑Hazrate Aayesha ...
13/03/2024

👑3 Ramzan Urs E Sarkar Syeda Maa Fatemah Zahrah Salamullah Alaiha Ka Urs Sharif Bohat Bohat Mubarak ho 👑

Hazrate Aayesha Siddiqah Radiyallahu Anha Farmati Hain Ke Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihe WaSallam Ne Apne Marz E Wisal Mein Apni Shahabzadi Syedah Fatemah Salamullah Alaiha Ko Bulaya Phir UnSe Kuchh Sargoshi Farmayi Toh Woh Rone Lagi Phir Unhe'n Qareeb Bula Kar Sargoshi Ki Toh Hans Parhi

Hazrate Aayesha Siddiqah Radiyallahu Anha Farmati Hain Ke Maine Is Baare Mein Syedah Fatemah Salamullah Alaiha Se Puchha Toh Unhone Bataya:

Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Alaihe WaSallam Ne Mere Kaan Mein Farmaya Tha Ke Aapka Is Marz Mein Wisal Ho Jayega Pas Mai Rone Lagi Phir Aap Sallallahu Alaihe WaSallam Ne Sargoshi Karte Hue Mujhe Bataya Ke Aapke Ahle Bait Mein Sab Se Pehle Mai Aapse Milungi Ispar Mai Hans Parhi. Ye Hadith Muttafaq Alaih Hai (Irfanus Sunna Safa No.265

💐👑Mahe Ramzan Karim Ka Chand Raat Mubarak ✨❤️1St Ramzan Karim Youm E WilaadatHazrat Shaikh Saiyed Abdul Qadir Jilani (Ra...
11/03/2024

💐👑Mahe Ramzan Karim Ka Chand Raat Mubarak ✨❤️

1St Ramzan Karim
Youm E Wilaadat
Hazrat Shaikh Saiyed Abdul Qadir Jilani (Radiyallahu Anho)

Youm E Wilaadat Bohat Bohat Mubarak Ho 💐

4 Shaban Ul Muzzam -Youm E Wilaadat Karbala ke Hero, Shehanshah-e-Wafa,Qamar-e-Bani Hashim (Banu Hashim ke Chaand), Imam...
14/02/2024

4 Shaban Ul Muzzam -Youm E Wilaadat
Karbala ke Hero, Shehanshah-e-Wafa,
Qamar-e-Bani Hashim (Banu Hashim ke Chaand), Imam Hussain Alaihissalam ki Taqat aur Himmat aur Baazu,
Hazrat Sayyeduna Maula Abbas Alambardar Alaihissalam ki aaj 4 Shaban ko Youm-e-Wiladat Hai! Har Aashiq-e-Ahle Bayt ko Bahot Bahot Mubarak!!

Jis Gharme Imam Ali Akbar Imam Qasim (Alaihi-Mussalam) Jaise Haseen Noorani Chehre Waali Hastiyan rehti hain, Us Gharme Hazrat Abbas ko Banu Hashim ka Chand ka kaha jaata tha! To andaza lagaiye Aapki Khoobsurati ka! SubhanAllah!

Tu Shahenshah Wafa ka, 2 jag pe Teri Shahi
Panjatan Hai Tujhpe Naaza, Aisi Wafa Nibhayi
Tere Alam ko Chumne jhukta hai aasman
Abbas Tere Dar sa duniya me dar kaha

❣️3Shaban Youm e Wiladat❣️"Shahezada e Rasoolﷺ Ibn e Ali""Noor e Nazar e Fatima Zahra""Sardaar e Jannat""Imam Arsh Makam...
13/02/2024

❣️3Shaban Youm e Wiladat❣️
"Shahezada e Rasoolﷺ Ibn e Ali"
"Noor e Nazar e Fatima Zahra"
"Sardaar e Jannat"
"Imam Arsh Makam"
"Sayyedina Imam Moula Hussain Alyhissalam w RadiALLAHoTalaAnho"

Bohat Bohat Mubarak Ho ❣️

Aap Ne Farmaya Ke Rabbe Kaba Ki Qasam Allah Ne Jo Ne'matMujhe Ata Farmayi Jis Ka Mai Shukr Ada Karta Hu Niyaz KiShakl Me...
02/02/2024

Aap Ne Farmaya Ke Rabbe Kaba Ki Qasam Allah Ne Jo Ne'mat
Mujhe Ata Farmayi Jis Ka Mai Shukr Ada Karta Hu Niyaz Ki
Shakl Me isi Tarah isi Taarikh Me Jo Bhi Shukr Ada Karega Aur
Hamare Wasile Se Jo Dua Mangega To Allah Rabbul izzat Uski
Muraad Zarur Puri Farmayega Aur Dua Zarur Kabool Hogi
Kyo Ki Allah Rabbul izzat Apne Shukr Guzar Bando Ko
Mayoos Nahi Farmata
Sub'hanallah
Ki Fatiha Ko Hi Kare
na Hi Aap Ke Wisal Ki Trikh Hai
Na Hi Paidayish Ki Tareekh
Ye To Apko Maqame Ghoosiyate Kubra Milne Par Ada Ki Gyi
Shukr Ki Niyaz Hai

Nasab Sharif :
Hazrat Sayyedna Imam Jaafar Sadiq ibne Sayyadna Imame Bakar ibne Sayyadna Imame Zainul Aabedin ibne
Sayyadna Imame Hussain Alaihmussalam

📝Ref.
1:minhajussalehin+ musannif
Sayyadna Imam Mohiyuddin ibne Abu Baker Baghdad
2: Kashaful Asrar
Sayyadna Imam Abdullah bin Ali Asfahani
3: Madame Asrare Ahle bait
Sayyadna Imam Muhammad bin Ismail Muttaqi Makki
4: Makhzane Anware Wilayat
Sayyadna Imam Burhnuddin Asqalani.

*21 *rajab Yani Aaj Ki Raat Bi Mubarrak Hai Kal Ka Din Bhi Jaroor Aaj Ki Rat Mai Ibadat Riyazat Kare Aur Allah se imam K sadqe Mai Apne Liya Dua Mange
Aur Kal Niyaaz Bi Kare Imam Ki 22rajjab Ul Murajjab 🎉🎉Bahot Bahot Mubarak🎉🎉
Imam Hazrat Syeduna Jaffer As Saddiq Ibne syeduna Imam Bakkar
Ka Sadqe Tufail Allah Apni Khas Khurbat se Musharaf Farmae**
*Aameen*

Post By : 🌹Gulam-e-Rais-e-Millat Shaikh Aftab Ashrafi Mirani (Baba)

15th Rajjab Ul Murajjab Youm E Shahadat MOULA IMAM JAFAR AL SADIQ RadialallahtalaanhuKahun mai kya, Kya Hasti hai IMAM J...
26/01/2024

15th Rajjab Ul Murajjab Youm E Shahadat
MOULA IMAM JAFAR AL SADIQ Radialallahtalaanhu

Kahun mai kya, Kya Hasti hai IMAM JAFAR Al SADIQ
Imamon ka Imam hai IMAM JAFAR Al SADIQ

Jo inke dar pe jhukte hai woh bante hai wali allah
Bustami bayzed bhi hai ghulam e JAFAR Al SADIQ

Meri kush naseebi hai mai hun ghulam unka
Jinke Nasoon me hai Dhaodta laho e JAFAR Al SADIQ

Husn e HASAN, Lahu e HUSSAIN jaalal e ALI se bana
NABI ﷺ ki pyari beti Ka beta IMAM JAFAR Al SADIQ

Jinke dilon me hai Bugz ALI o Aal E ALI
Nahi dikh sakta tumhe Rutba e IMAM JAFAR al SADIQ

Chaman e ZAHRA PAAk Ka Gul hai Woh
ALI ke ishq Ki jaan hai IMAM JAFAR Al SADIQ

Likte ho padhte ho bada ALLAH WALLI ALLAH
Magar Tazkiratul Auliya ki ibteda hai IMAM JAFAR Al SADIQ

Han Mai Dewana kush - mast hun Jafarry rang me
Kyun ke mai khata hun Sadq e IMAM JAFAR Al SADIQ
Radiallahtalaanhum

Tamam Ahale watan (Hindustan) KoYaume Jamhooriya Mubarak   Happy Republic day
26/01/2024

Tamam Ahale watan (Hindustan) Ko
Yaume Jamhooriya Mubarak
Happy Republic day

13 𝚁𝙰𝙹𝙰𝙱 𝚄𝙻 𝙼𝚄𝚁𝙰𝙹𝙹𝙰𝙱 𝚈𝙾𝚄𝙼𝙴 𝚆𝙸𝙻𝙰𝙳𝙰𝚃✨ 𝙱𝙰 𝚂𝙰𝙰𝙳𝙰𝚃 𝙰𝙼𝙴𝙴𝚁 𝚄𝙻 𝙼𝙾𝙼𝙸𝙽𝙴𝙴𝙽 𝙸𝙼𝙰𝙼 𝚄𝙻 𝙼𝚄𝚃𝚃𝙰𝚀𝙴𝙴𝙽 𝙵𝙰𝚃𝙰𝙷 𝙴 𝙺𝙷𝙰𝚈𝙱𝙰𝚁 𝙰𝚂𝙰𝙳 𝚄𝙻𝙻𝙰𝙷 𝙹𝙰𝙽𝙰𝚂𝙷𝙴𝙴𝙽 𝙴...
24/01/2024

13 𝚁𝙰𝙹𝙰𝙱 𝚄𝙻 𝙼𝚄𝚁𝙰𝙹𝙹𝙰𝙱
𝚈𝙾𝚄𝙼𝙴 𝚆𝙸𝙻𝙰𝙳𝙰𝚃✨ 𝙱𝙰 𝚂𝙰𝙰𝙳𝙰𝚃 𝙰𝙼𝙴𝙴𝚁 𝚄𝙻 𝙼𝙾𝙼𝙸𝙽𝙴𝙴𝙽 𝙸𝙼𝙰𝙼 𝚄𝙻 𝙼𝚄𝚃𝚃𝙰𝚀𝙴𝙴𝙽 𝙵𝙰𝚃𝙰𝙷 𝙴 𝙺𝙷𝙰𝚈𝙱𝙰𝚁 𝙰𝚂𝙰𝙳 𝚄𝙻𝙻𝙰𝙷 𝙹𝙰𝙽𝙰𝚂𝙷𝙴𝙴𝙽 𝙴 𝙽𝙰𝙱𝙸ص 𝚂𝙷𝙾𝙷𝙰𝚁 𝙴 𝙱𝙰𝚃𝙾𝙾𝙻س 𝙱𝙰𝙱𝙰 𝙴 𝙷𝙰𝚂𝙰𝙽 𝙾 𝙷𝚄𝚂𝚂𝙰𝙸𝙽ع 𝙱𝙰𝙱 𝚄𝙻 𝙸𝙻𝙼 𝙺𝚄𝙻𝙻𝙴 𝙸𝙼𝙰𝙼 𝙼𝙾𝚄𝙻𝙰 𝙰𝙻𝙸 𝙸𝙱𝙽𝙴 𝙰𝙱𝚄 𝚃𝙰𝙻𝙸𝙱ع ❤️✨
𝙺𝙸 𝚆𝙸𝙻𝙳𝙰𝚃 𝙺𝙸 𝙺𝙷𝚄𝚂𝙷𝙸 𝙱𝙰𝚁𝙶𝙰𝙷𝙴 𝚁𝙰𝚂𝙾𝙾𝙻ص 𝙴 𝙺𝙷𝚄𝙳𝙰 ❤️🙌🏻12 𝙸𝙼𝙰𝙼ع 𝙱𝙸𝙻 𝙺𝙷𝚄𝚂𝙾𝙾𝚂 𝙸𝙼𝙰𝙼 𝙴 𝚆𝙰𝚀𝚃ع 𝙺𝙸 𝙱𝙰𝚁𝙶𝙰𝙷 𝙼𝙰𝙸 𝙿𝙴𝚂𝙷 𝙺𝚁𝚃𝙴 𝙷𝙰𝙸 ✨❤️
𝚆𝙰 𝚂𝙰𝙱𝙷𝙸 𝙶𝚄𝙻𝙰𝙼𝙰𝙽𝙴 𝙰𝙻𝙸ع 𝙺𝙾 𝙼𝙾𝚄𝙻𝙰 𝙺𝙸 𝚆𝙸𝙻𝙰𝙳𝙰𝚃 𝙱𝙾𝙷𝙾𝚃 𝙱𝙾𝙷𝙾𝚃 𝙼𝚄𝙱𝙰𝚁𝙰𝙺 𝙷𝙾 ❤️🥳🥳

👑Ashraf E Simna Ke Naam Ka  Saqka Hamari Joli ko Bhar diye Garib Nawaz 💐👑6 Rajjab-ul-Murajjab 👑👑812th Urs Mubarak 👑 Aale...
17/01/2024

👑Ashraf E Simna Ke Naam Ka Saqka
Hamari Joli ko Bhar diye Garib Nawaz 💐

👑6 Rajjab-ul-Murajjab 👑
👑812th Urs Mubarak 👑

Aale Rasool (ﷺ)
Aulad E Moula Ali (رضي الله عنهم)
Lakht-E-Jigar
Saiyeda Maa Fatemah Zahra (سلام لا عليها)
Noor E Nazar Hasnain Karimain(رضي الله عنهم)
Ata E Rasool (ﷺ)
Nayab E Rasool (ﷺ)
Hindal Wali
Sultan Ul Hind
Khawaja E Khawajgan
Hazrat Khawaja Garib Nawaz
Syed Khawaja Moinuddin Hasan Sanjari Chisty Ajmeri(رضي الله عنهم)
Ajmer Sharif, Rajsthan India 🇮🇳

Aastana-E-Aaliya
Sarkar 17 Yakub Shahid(Radiyallahu Anho)
Miran Nagar,
Anara road,
Kapadwanj Sharif,
Ta.Kapadwanj,
Dist.kheda,Gujarat, India
Ki Aur se
Tamam Aashiq E Khawaja Garib Nawaz Ko 812th Urs-E-Sarkar Sultan-Ul-Hind Khawaja Garib Nawaz Moinuddin Hasan Chishti Sanjari Ajmeri
(Radi Allahu Ta'ala Anhu)
Bohat Bohat Mubarak ho...

Admin
Aftab Ashrafi Mirani

Follow on page

YouTube :- https://youtube.com/17 Sarkar group official

Instagram :- https://instagram.com/Sarkar 17 Yakub Shahid-R.A

Facebook :- https://www.facebook.com/Sarkar 17 Yakub Shahid-R.A

Twitter :- https://twitter.com/Sarkar 17 Yakub Shahid-R.A









👑Mehboob E Khuda Nabiullah Safiullah Najibullah RasoolUllah Sarware Qaayenaat Khatmul Mursaleen Afzalul Bashar Rasoole A...
28/09/2023

👑Mehboob E Khuda Nabiullah Safiullah Najibullah RasoolUllah Sarware Qaayenaat Khatmul Mursaleen Afzalul Bashar Rasoole Aazam Yaaseen Taaha Muzammil Bashir Nazeer Wash Shamsh Chehra Wal Layl Zulfein Akhie Maula Ali Pidare Sayyedaae Qaayenaat Jadde Hasanain Karimain Wa Jadde Kul Saadaat Sayyedus Saadaat Maula Aaqa Muhammad Al Mustafa صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم

Haider Ke Maula Ki Aamad Marhaba ❤️

Tamaam Aashiqane Rasool ﷺ Ko Eid e Miladun Nabi ﷺ Mubarak Ho...!


Address

Aastana E Sarkar 17 Yakub Shahid(R. A)
Kapadwanj

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Sarkar 17 Yakub Group Official posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Videos

Share


Other Digital creator in Kapadwanj

Show All

You may also like